Zohar ki Namaz ka Sahi Tarika In Hindi

Zohar ki Namaz ka Sahi Tarika In Hindi

  1. 4 Rakat Sunnat
  2. 4 Rakat Farz
  3. 2 Rakat Sunnat
  4. 2 Rakat Nafil

Zohar ki namaz ki niyat kis tarah ki jati hai ?

  • Zohar ke 4 rakat sunnat ki niyat kis tarah karna chahiye?

    Ans. Niyat ki main ne chaar rakat namaz sunnat Allah tala ke liye sunnat Rasoolul Allah ke munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar.

Zohar ki 4 rakat farz ki niyat kis tarah ki jati hai?

Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz zohar ki waste Allah tala ke ( Muqtadi itna aur kahe) peeche is Imam ke muh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar.

  • Zohar ki 2 rakat sunnat namaz ki niyat kis tarah ki jati hai?

  • Ans. Niyat ki main ne do rakat namaz sunnat zohar ki sunnat rasoolullah ki waste Allah tala ke muh mera kaba shareef ki taraf Allahu akbar.
  • Zohar ki do rakat nafil namaz ki niyat kis tarah ki jati hai?

Ans.    Niyat ki main ne 2 rakat namaz nafil zohar ki waste Allah tala ke munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu akbar.

Zohar Ki 4 Rakat Sunnat Namaz ka Tarika . Zohar ki nmaz ki sunnat e moakkada

Niyat bandhne ke baad sab se pahle Sana padhe . Phir Auzubillah aur bismillah ke baad Surah Fatiha ki tilawat kare . After that baad koi surat milaye jo achchi tarah yaad ho . Ya aisi koi aik Ayat padhen jo 3 choti ayaton ke barabar ho . Phir Allahu Akbar kahta hua Ruku me jaye Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhana Rabbiyal Azeem padhe . Samialllahu liman hamidah kahta hua khada ho jaye . Allahuakbar kahta hua Sajde me Jaye .

Sajde me Kam se kam 3 baar tasbeeh yani Subhan Rabbiyal aala padhe . Uske baad doosre sajde me Allahu akbar kahta hua jaye aur isme bhi 3 tasbeeh padhe .

Dono sajde complete karne ke baad 2sri rakat ke liye Allahu akbar kahta hua khada ho jaye . Surah fatiha ki tilawat ke baad soorat milaye . Phir pahli hi rakat ki tarah Ruku Aur Sajda kare . Do Rakat par Qaada kare .

Isi tarah 4 Rakat Namaz ada kare . Sunnat ki har rakat me Surah Fatiha ke baad surat milaye . 4 Rakat mukammal hone ke baad qaada kare . Usme Attahiyyat , Durood e Ibrahim aur Dua e masoora padh kar salam pher de .

Zohar ki 4 rakat Farz Namaz ka Tarika – In Hindi

Niyat bandhne ke baad sab se pahle Sana padhe . Phir Auzubillah aur bismillah ke baad Surah Fatiha ki tilawat kare . uske baad koi surat milaye jo achchi tarah yaad ho . Ya aisi koi aik Ayat padhen jo 3 choti ayaton ke barabar ho .

Phir Allahu Akbar kahta hua Ruku me jaye Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhana Rabbiyal Azeem padhe . Samialllahu liman hamidah kahta hua khada ho jaye . Allahuakbar kahta hua Sajde me Jaye .

Sajde me Kam se kam 3 baar tasbeeh yani Subhan Rabbiyal aala padhe . Uske baad doosre sajde me Allahu akbar kahta hua jaye aur isme bhi 3 tasbeeh padhe .

Doosari Rakat me Surah Fatiha ke baad soorat milaye . Aur pahli rakat ki tarah Ruku aur sajda kare . Do Rakat par Qada ke liye baith jaye . Attahiyyat padh kar khada ho jaye Allahu Akbar kahta hua . Teesari aur chauthi rakat me Sirf Surah fatiha padhe . Soorat nahi milana hai .

4 Rakat Complete hone ke baad qaada kare . Usme Attahiyyat , Durood e Ibrahim aur Dua e masoora padh kar salam pher de .

Note . Agar Imam ke peeche padh rahe ho to Sana padh kar khamosh rahna hai . Uske alawa jo tasbeehat hain unko padhna hai . 

Zohar ki 2 rakat Sunnat e moakkada ka tarika / Zohar ki sunnat

Niyat bandhne ke baad sab se pahle Sana padhe . Phir Auzubillah aur bismillah ke baad Surah Fatiha ki tilawat kare . uske baad koi surat milaye jo achchi tarah yaad ho . Ya aisi koi aik Ayat padhen jo 3 choti ayaton ke barabar ho .

Phir Allahu Akbar kahta hua Ruku me jaye Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhana Rabbiyal Azeem padhe . Samialllahu liman hamidah kahta hua khada ho jaye . Allahuakbar kahta hua Sajde me Jaye .

Sajde me Kam se kam 3 baar tasbeeh yani Subhan Rabbiyal aala padhe . Uske baad doosre sajde me Allahu akbar kahta hua jaye aur isme bhi 3 tasbeeh padhe .

Doosari Rakat me Surah Fatiha ke baad soorat milaye . Aur pahli rakat ki tarah Ruku aur sajda kare . Do Rakat par Qada ke liye baith jaye . Attahiyat , Durood e Ibraheem Aur Dua e masoora padh kar Salam Pher de .

Zohar Ki 2 Rakat Nafil ka Tarika

Is Tarah se Zohar Ki 12 Rakat Namaz mukammal ho jayegi . 

Zohar ki Namaz ka time / Zohar ki Namaz time

Jab Sooraj dhalna shuru ho jaye us waqt zohar ki namaz ka waqt start ho jata hai . Aurat aur mard dono ke liye aik hi waqt hai . Zohar ki namaz ka waqt kisi cheez ka saaya doguna hone tak rahta hai . for example jab kisi cheez ko khada kiya jaye to uski lambai dugni dikhne lage .

Namaz ke faraiz / Namaz me kitne faraiz hain

Wazu ke faraiz / Wazu me kitne farz hain

Fajar ki namaz ka tarika , Niyat , Waqt ,Rakat

1 thought on “Zohar ki Namaz ka Sahi Tarika In Hindi”

Leave a Reply