Wazu ke faraiz / Wazu me kitne farz hain
- Poora chehra dhona . Peshani ke balon se thodi ke neeche tak , aur aik kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak , poora chehra dhona .
- Dono hath kohniyon samet dhona . koi hissa bheegne se na choote .
- chauthai sar ka masah karna .
- Dono paun takhno samet dhona .
Wazu ke faraiz me se har aik cheez ka poore taur par dhona zaroori hai . Agar koi bhi hissa sahi se nahi bheega to aisi soorat me wazu nahi hoga . Isliye jo wazu ke faraiz hai un ka mukammal khayal rakhna zaroori hai .
Read more….
salatul hajat ki namaz kaise padhen
Fraz kis ko kahte hain .
Farz us cheez ko kahte hain jo dalail e qatai yani quran o hadees se sabit ho . Farz ka ada karna nihayat zaroori hai . Jo cheez farz ho uske farz hone ka inkar karne wala kafir hai . Bagair uzre sharai usko karne wala fasiq , Gunah e kabira ka murtakib aur mustahiq e azab e jahannam hai . Jo aik waqt ki bhi farz namaz jaan boojh kar bagair wajh e sharai qaza kare wo fasiq o muratkib e kabeera aur jahannam ka mustahiq hai .
[ Fatawa Razaviyya jild 2 page 194]
Wazu ke faraiz 4 hain .
- poora chehra dhona.
- Dono hathon ko kohniyon ke saath dhona .
- Chauthai sar yani Sar ke 1/4 ka masah karna yani bheege hue haath ferna zaroori hai .
- Donon pairon ko gatton ke saath dhona.
Dhone ka matlab kya hai? Wazu ke faraiz
Dhone ka matlab ye hai ki jis cheez ko dhoya ja raha hai uske har hisse par sahi tareeqe se pani pahunch jaye . Agar koi bhi thoda hissa bhi bheegne se rah jayega to farz ada nah hoga . aur jab farz ada nahi hoga to wazu bhi nahi hoga . Isliye dhote waqt mukammal ehtiyat ke saath dhoya jaye .
Note : Agar aap kuch poochna chahte hain to comment kare , App ke sawal ka jawab jald diya jayega .
2 thoughts on “Wazu ke faraiz / Wazu me kitne farz hain”