Traveeh ki namaz ka tareeqa – hindi

Taraveeh ki namaz ka tarika

Ramazaanul mubaarak ke maheene mein isha ki farz aur sunnat namaaz ke baad witr se pehle jo namaaz padhi jaati hai use taraaweeh ki namaaz kahte hain.                                                                                                                                                              Har aurat aur mard par taraaweeh ka padhna sunnat.e.muakkada hai .  bigair uzr chhodne  wali aurat gunahgaar hogi .  Albatta masjid mein jama’at se padhna sunnat.e,kifaaya hai . Agar muhalle ki masjid mein taraaweeh ki  jama’at na ho to saare muhalle wale gunahgaar honge .

Taraveeh ka waqt .

Jis raat Ramzanul mubarak ka chand nazar aa jaye usi raat se taraveeh ki namaz shuru ho jati hai . Aur Eid ka chand nazar aane tak padhna lazim hai . Tarveeh ka waqt isha ke baad se subh e sadiq tak hai . Behtar ye hai ki witr taraveeh ke baad padhi jaye . Lekin agar koi witr ki namaz se pahle padh le tab bhi sahi hai . [ Shami jild 5 page 240 witr ka baab ]

Taraveeh ki namaz ka tareeqa

Isha ki farz aur sunnat namaz padhne ke baad taraveeh ki niyat se 2/ 2 rakat kar ke 10 salamon se 20 rakat padhna hai . Aur har 4 rakat par thodi der ke liye rukna hai . Dua e taraveeh ke baad khada hona hai . Is waqfa ko tarveeha kahte hain . Tarveeha ka mana aaram karna hai . Behtar hai ki is waqfa me dua , zikr wagaira me masroof raha jaye . Taraveeh me 1 baar quran khatam karna sunnat hai . Aur 1 baar se zyada khatam karna mustahab hai .

Taraveeh ki niyat kaise kare .

Niyat ke main ne 2 rakat namaz taraveeh sunnat , Sunnat rasoolullah ki waste Allah tala ke muh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbnar .

Dil me irad karne ko niyat kahte hain .  Zaban se niyat karna zaroori nahi hai . ZDil me irada kar lena kaafi hai . Albatta niyat ke alfaz zaban se kahna musthab hai .

Taraveeh ki niyat har 2 rakat par bhi ki ja sakti hai . Aur agar chahe to 20 rakat taraveeh ki niyat aik saath kar le .

Tarveeh ki dua – In hindi

सुब्हान ज़िल मुल्की वल मलकूत . सुब्हान ज़िल इज़्ज़ती वल आज़माति वल है बति वल क़ुदरति वल किबरियाई वल जबारूत . सुब्हानल मालिकिल हय्यिल लज़ी ला यनामु वला यमूत .  सुब्बूहूं कुद्दुसून रब्बुना व रब्बुल मलाइकती वररूह . अल्लाहुम्मा अजिरना मिनंणार या मुजीरु या मुजीरु या मुजीर .

Tarveeh ki dua

Subhanal malikil quddoos .

Subhana zil mulki wal malakoot .

Subhana zil izzati wal azmati wal haibati wal qudrati .

wal kibriyai wal jabaroot .

Subhanal malikil hayyil lazi la yanamu wala yamoot .

Subboohun quddoosun rabbuna wa rabbul malaikati war rooh .

Allahumma ajirna minan nar . Ya mujeeru ya mujeeru ya mujeer .

taraveeh ki dua

Read more ,,,,,,

Taraveeh ki namaz ki ahmiyat o fazilat

2 thoughts on “Traveeh ki namaz ka tareeqa – hindi”

Leave a Reply