.Huzoor ﷺ Irshad farmate hain : Jo shakhsh Ramazanul mubarak ki raton ko iman aur ikhlas ke saath ibadat me guzare ga . Uske sab pichle gunah maaf kar diye jayenge .
Taraveeh ki fazilat
Ramazanul mubarak ki aik imtiyazi ibadat namaz e taraveeh hai . Jo apni alag shaan rakhti hai . Uske zariye ramazanul mubarak me masjidon ki shaan badh jati hai . Aur ibadat ke shauq me gair mamooli izafa ho jata hai . Hadees shareef me hai ki Nabi e kareem ﷺ ne Ramzanul mubarak me teen din masjid e nabawi me ba- jamat namaz padhai . Lekin jab majma zyada badhne laga aur shaba ke gair mamooli zauqo shauq ko dekh kar Aap ﷺ ko ye khtra hua ki kahin ye namaz ummat par farz na kar di jaye . To Aap ﷺ ne ye silsila mauqoof kar diya . Lekin Aap ﷺ ramzan ki raton me kasrat se ibadat ka ihtemam farmate the . Jo log Quran ke hafiz the wo khud nawafil me quran padhte . Uske alawa jo sahaba hafiz na the wo kisi hafiz ki iqtida me quran sunte .
Madeena munawwara me aik taba’i aalim Salaba ibne abee malik qurazi riwayat karte hain ki , aik martaba Ramzanul mubarak ki raat me Nabi e kareem ﷺ masjid me tashreef laye , To dekha ki aik kone me kuch log jamat se namaz padh rahe hain . Aap ﷺ ne daryaft kiya ye log kya kar rahe hai ? . Kisi ne arz kiya ya Rasoolulllah ﷺ ye wo hazraat hain jin ko quran hifz nahi hai , Hazrat ubai ibn e kaab namaz me quran padhn rahe hain , Aur ye log unki iqtida me quran sun rahe hain . Ye sun kar Huzoor ﷺ ne farmaya : In logon ne bahut achcha kiya aur aap ne unke bare me koi nagawari ke alfaz nahi irshad farmaye . [ Sunan e Kubra 4794]
Is tafseel se ye maloom ho gaya ki huzoor ke zamane me Ramzan ki wo khusosi namaz jise baad me taraveeh kaha jane laga , Yaqeenan padhi jati thi . Sahaba e kiram us namaz se bakhobi waqif the . Aur tanha ya jamat se use padha karte the . Phir daur e siddiqui aur farooqui ke ibtidai zamane tak ye silsila yonhi jari raha . Uske baad hazrat Umar farooq radiallahu anhu ne ye dekh kar ki log masjid me tanha ya choti choti toliyan bana kar taraveeh ki namaz padhte hain , Aap ne munasib samjha ki tarveeh ki jamat qayam kar di jaye . Isliye aap ne sahab me sab se bade qari Hazrat ubai ibn e kaab ko taraveeh ka imam muqarrar farmaya . Aur sahab unki iqtida me taraveeh padhne lage .
Taraveeh kitni rakat hoti thi
Hazrat Yazeed bin rooman farmate hain , ki Sahaba wa tabaeen Hazrat e umar ke daur e khilafat me Ramzan ke maheene 23 rakat padha karte the . 20 rakat taraveeh aur 3 rakat witr .
Hafiz bin Hajar asqalani ne ye riwayat naql ki hai ki , Huzoor ﷺ ne 2 raat me 20 rakat padhai . Jab teesri raat hui log jama hue magar Huzoor ﷺ tashreef nahi laye . Phir subah ke waqt irshad farmaya . Mujhe khayal hua ki ye namaz tum par farz ho jayegi to tum isko nibha na sakoge .
Hasil e kalam ye ki 20 akat tarveh ahadees se sabit hai . Aur har daur me musalman mard aurat isko ehtimam se ada karte rahe . Isliye hame bhi ise khoob ehtimam se ada karna chahiye . Ramzanul mubarak ki raten nihayat qeemati hoti hain . Usme jitni bhi ibadat ki jaye kam hai . Nabi e kareem ﷺ aur sahaba wa sahabiyat raat bhar ibadaton me masroof rahte the .
Ham agar 20 rakat me susti barte to ham se zyada kon mahroom ho sakta hai . Allah ham sab ko Ramzan ki khusoosi raton me khoob ibadat ki taufeeq ata farmaye .
read more ,,,,,,,,,,
1 thought on “Taraveeh ki namaz ahmiyat o fazilat”