Witr ki Namaz padhne ka tarika in Hindi

Witr ki Namaz padhne ka tarika in Hindi

Witr ki namaz 3 rakat hoti hai . ye Namaz Isha ki farz ke baad 2 rakat sunnat ke baad padhi jati hai . Iska padhna wajib hai . Agar koi Isha ki Qaza Namaz padhe to farz ke saath witr ki qaza karna bhi zaroori hai .

       Witr namaz ki niyat kaise karen?

Niyat ki main ne 3 rakat namaz witr wajib waste Allah tala ke muh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akbar .

Note : 

Agar Imam ke peeche padhe jaisa ki Mahe Ramzan me padhte hain , To Niyat me itna aur kah le ” Peeche Is Imam ke ” Muh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akbar.

Witr Namaz padhne ka Tarika in Hindi

Niyat karne ke baad Sana padhe . . Sana ke Alfaz is tarah padhen . Subhanak – Allahumma – Wa bi-Hamdik . Wa tabarak Ismuk , Wa ta’la Jadduk wa la-ilaha gairuk .

Phir Auozu billahi minash Shaitanir Rajeem padhe . Aur uske baad Bismillahir Rahmanir Raheem padhe. uske baad surah Fatiha ki tilwat karna hai . Aur phir Kisi surat ko padhna hai . ya aik ayat aisi jo 3 ayaton ke barabar ho .

Allahu Akbar kahta hua ruku me jaye . Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhan Rabbiyal Azeem padhen. Ruku se Samialllahu Liman hamidah kahta hua khada ho . Aur Rabbana lakal hamd padhe . Allahu Akbar kahte hue sajde me jayen . Aur Sajde me 3 bar sajde ki tasbeeh padhen . Yani subhan Rabbiyal A’ala padhen . Allahu Akbar kahte hue baith jaye . uske baad Allahu Akbar ahte hue doosre  sajde me jaye .Uske baad Allahu Akbar kahta hua seedha khade ho jaye .

     Vitr Namaz ki doosari Rakat ka Tarika

Doosri rakat me bismillah ke baad surah fatiha padhe . Aur kisi surat ki tilawat karen . phir ruku aur sajda pahli rakat ki tarah karen . 2 rakat par qaada me Attahiyyat padh kar khada ho jaye aur teesari rakat is tarah se mukammal kare .

Pahle Surah fatiha ki tilawat aur koi sorat padhe . Phir Allahu Akbar kahta hua kano tak haath le jaye aur naaf ke neeche lakar waise hi bandh le . ( Aurate seene par hath bandhen ) uske baad Duaye Qunoot padhe .

witr ki namaz ka tarika Video dekhen.

https://www.youtube.com/watch?v=A6EzICStfYs

 

Duaye Qunoot ye Hai .

Allahumma – inna – Nastaeenuk – wa- nastagfiruk – wanu minu – bik – wa – natawakkalu- alaika – wa-nusni – alaikal -khair . wa-Nashkuruk -wala -nakfuruk – wa -nakhlau – wa-natruku – main yafjuruk – Allahumma Iyyaka na’budu walak-nusalli – wa-nasjudu wa-ilaika nas’aa . wa Nahfidu wa narju rahmatak – wa -nakhsha azabak inna azbak bil kuffari mulhiq .

Phir Pahli rakat ki tarah ruku sajda kar ke teesari rakat par qaada ke liye baith jaye . is me Attahiyyat , Durood e Ibrahim aur Duaye masoora padh kar salam pher de . Istarah se Witr ki namaz mukammal ho jayegi .

Attahiyyat / Tashahhud

At-taḥīyātu li-llāhi, wa-ṣ-ṣalawātu wa-ṭ-ṭayyibātu. as-salāmu ʿalayka ayyuhā n-nabīyu wa-raḥmatu -llāhi wa-barakātuhu. As-salāmu ʿalaynā wa-ʿalā ʿibādi -llāhi ṣ-ṣāliḥīna. ʾashhadu an lā ʾilāha ʾillā -llāhu wa-ʾashhadu ʾanna muḥammadan ʿabduhū wa-rasūluhū.

Durood e Ibrahim

 

Duaye Masoora Is tarah padhen

Allahumma Innee zalamtu nafsee zulman kaseeron walaa yagfriz-zunooba – Illa anta fagfirlee magfiratm min i’ndika – Warhamnee innak antal gafoorur raheem . 

Ya Agar Koi doosari Duaye masora yaad ho to wo bhi padh sakte hain .

مزید پڑھہں