Shawwal ke 6 Roze / Eid ke baad ke 6 Roze
Ramzanul Mubarak ke saath Shawwal ke 6 Rozon ka ehtimam karne walon ke liye Huzoor Nabi e kareem ne basharat ata farmai hai . Aap ne farmaya ki jo shawwal ke 6 roze rakhe use poore saal roza rahne ka sawab hasil hota hai .
Hazrat Abu Ayyub Ansari se riwayat hai , Unhon ne farmaya ki Rasoolullah Ne Irshad farmaya ” Jo shakhsh Ramzan ke Roze rakhe phir un ke baad shawaal ke 6 roze rakhe to ye Zamana bhar roza rakhne ke barabar hai .
( Muslim Shareef Hadees no 11640)
Huzoor Ne Irshad farmaya ” Jis ne Eidul fitr ke baad 6 Roze rakhe to usne poore sal ke roze rakhe .
Hazrat hasan radiallahu anhu ke paas jab in 6 Rozo ka zikr kiya jata to farmate ” Allah is maheene par raham farmaye ki is maheene ki wajah se poore saal ke roze rakhne ka sawab mil jata hai .
Poore Shawwal ka Roza rakhne ka sawab
Aik Sahabi se riwayat hai ki main huzoor ko ye farmate suna hai ki ” Jis shakhs ne Ramzan , Shawwal aur budh ,Jumerat ke Roze rakhe wo jannat me dakhil hoga .
( Musnad Ahmad bin Hambal 3 / 416 )
Shawwal ke Roze kaise rakhe ?
Nafil Rozon ke bare me Fuqaha ne Irshad farmaya hai . Aik din ke waqfa se nafil roze rahna behtar hai . Mah e shawwal ke 6 roze alag alag rakhne ka ye tareeqa bataya gaya hai ki har hafta me 2 roze rakhe jayen . Lekin agar koi lagatar 6 roze rakhna chahe to is me bhi koi karahat nahi hai . Albatta agar aik din chod kar doosare din roza rakha jaye to ye afzal hai .
Shawwal ka Roza rakhne ki Hikmaten
Shawwal ke Rozo ka faida ye hai ki ye roze Ramzanull mubarak me rakhe gaye rozon ki kami wa beshi ko poora karte hain . Kynki Rozadaar se kami wa beshi ho jati hai . Gunah bhi sarzad hote hain . Isliye agar ye Roze Rakhe jayen to InSha Allah un rozo ki kami ko poora kar denge .
doosara fayda ye hai ki Qayamat ke din faraiz me hone wali kami ko nawafil se poora kiya jayeg . Jaisa ki Nabi e kareem ne bhi Irshad farmaya hai . Qayamat ke din bandon ke aamal me sab se pahle uske nmaz ke bare me poocha jayega . Allaha farishto se farmayega
dekho mere bande ke namazo ko us ne kami ki hain ya poori ki hain , Halanki Allah khoob janta hai . Agar poori hongi to poori likhi jayengi . Aur agar us me kuch kami hui to Allah tala farmayega mere bande ke nawafil se uske faraiz poore kar do . Phir baqi aamal bhi isi tarah se kiye jayenge .
( Sunan e Abu Daud Hadees number 733)