Roze ke masail / Niyat / waqt in Hindi

Roza kise kahte hain / Roze ke masail Roze ke masail ka janna aap ke liye zaroori hai . isliye aaj aap ko Roze ke masail seekhna hai . Subh e sadiq se lekar guroob-e-aaftab tak ibadat ki niyat se khane peene aur sohbat se ruke rahne ka naam Roza hai . [ Shami 7/312] Arabic me roza rakhne ko …

مزید پڑھہں

Fazail e Shaban O Shabe Barat by masail world

Fazail e Shaban O Shabe Barat by masail world

Allah Tala ne maheeno ki tadad  12 rakhi hai , Shaban Islami 8wan Maheena hai ,isme Allah tala ne be panah barkat rakhi hai .

    Shababul moazzam ke hawale se huzoor Sallahualaihiwasallam ka ye Irshad Niyahat ahmiyat rakhti hai : ki Shaban mera maheena hai Aur Ramzan Allah ka maheena hai .

[ Al Jamiul Sageer page 301, Hadees No 4889]

               Shaban ko Allah Tala ne be panah fazeelat ata farmai hai .Is ki azmat o barkat par bahut saari ahadees mojood hain , Jin me se kuch aap ki khidmat me pesh ki ja rahi hain.

               Hazrat Anas bin Malik riwayat karte hain ki jab Rajab ka maheena dakhil hota to Huzoor ye Dua farmaya karte  the : Aye Allah hamare liye Rajab aur Shban  me barkat ata farma aur hamen Ramzan ke maheene tak pahuncha .                                                       [ Shabul Iman]

                                Mahe Shaban Me Rozon Ki fazilat

              Shaban ke maheene me roza rakhne ki bahut fazilaten hain , Huzoor Shaban ke rozo ka ehtimam farmate , Kisi  aur maheene me roze ka itna ehtimam nahi farmate balki Ramzanul Mubarak ke baad sab se ziyada jis maheene me rozon ka ehtimam farmate who Shaban ka hi maheena hai .

   Ummul Mpmineen Hazrat Aaisha bayan karti hain ki , Allah ke rasool jab Roza rakhna shuru farmate to , ham ye kahte ki aap roza rakhna khatam nahi karenge . Aur jab aap roza rakhna chod dete to ham ye kahte ki ab aap Roza nahi rakhenge . Aap farmati hain ki main ne Huzoor ko Ramzanul Mubarak ke elawa kisi aur maheene ka Roza rakhte hue nahi dekha Aur Sbaban ke elawa kisi aur maheene me aap ko kasrat se roza rakhte hue nahi dekha .

[ Sahih Bukhari Hadees No[ 1969]

              Tirmizi Aur Nisai Shareef me rozon ke taallauq se aik hadees pak mojood hai . Hazrat Aaiyesha siddiqa se riwayat hai aap farmati hain ki main ne sarkar ko kisi maheene me Shaban se zyada roza rakhte hue nahi dekha . Is maheene me aap kuch din chod kar poore dino ka roza rakhte . balki aap to poore Shaban ka roza rakha karte the.                                                                      [ Tirmizi Shareef Hadees [736 No]

Fiqhe Hanafi ki mashoor kitab fataawa aalamgiri me hai . Mustah Rozon ki kai Qisme hain [1] Moharram ka Roza [2] Rajabul Murajjab ka roza [3] Shaban aur Aashura ka Roza

Shaban me zyada Roza rakhne ki hikmat

                      Hazrat Usama bin zaid se riwayat hai kahte hain ki main ne huzoor ﷺ se poocha .

”Aap Shaban ke maheene me zyada roza rakhte hain aur kisi maheene me roze ka itna ehtimam nahi farmate aakhir iski wajah kya hai ?

             Aap ﷺ ne irshad farmaya  ye aisa maheena hai jis me log gaflat ke shikar hote hain jo Rajab aur Ramzan ke beech me hai .Ye aisa maheena hai jis me logon ke aamal Allah ki bargah me pesh hote hain .Main ye pasand karta hun ki mere aamal roze ki halat me Allah ki bargah me pesh kiye jayen .

[ Saheeh Nisai Hadees no 2356 ]

مزید پڑھہں