Shaban ka Roza aur Pandrhavin shaban ke fazail
Hazrat e Muaaz bin jabal radiallahu ta’ala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah sallallahu ta’ala alaihi wasallam farmate hain: Shaban ki 15vin shab me Allah azza wajal tamam makhlooq ki taraf tajalli farmata hai aur sab ko bakhs deta hai, magar kafir aur adawat wale ko nahi bakhshta.
(A l-ehsan bi tarteeb sahi ibne habban) الاحسان بترتیب صحیح ابن حبان)
Ummul momineen hazrat e Aayesha Siddeeqah radiallahu ta’ala anha se riwayat hai ki Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: mere pas jibreel aaye aur ye kaha: ye shaban ki pandrhavin raat hai, isme Allah tala jahannam se itno ko azad farmata hai jitni banee kalb ke bakrion ke baal hain, magar kafir aur adawat wale, rishta katne wale, kapda latkane wale, maa bap ki na farmani karne wale aur sharab ki mudawamat karne wale ki taraf nazre rahmat nahi farmata.
(Shoebul eeman, babul siyam) شعیب الایمان ،باب فی الصیام
Ummul momineen hazrat e Aayesha Siddeeqah radiallahu ta’ala Anha se riwayat hai ki Huzoor-e-Aqdas sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Allah azzawajal shaban ki pandrhavin shab me tajalli farmata hai, istigfar karne wale ko bakhsh deta hai aur talib e rehmat par rahem farmata hai aur adawat walon ko jis hal par hain usi par chhod deta hai.
(Shoebul eeman, Babu fissiyam) شعیب الایمان ،باب فی الصیام
Hazrat e Maula Ali karramallahu ta’aala wajhahul kareem se riwayat hai ki nabi-e-rehmat sallallahu ta’ala alaihi wasallam farmate hain . Jab shaban ki pandrhavin raat aa jaye to us raat ko qayam karo aur din me roza rakho , Ki rab tabarak wata’ala guroob e aaftab se aasmane duniya par khas tajalli farmata hai aur farmata hai ki hai koi bakhshish chahne wala ki use bakhsh doon. Hai koi rozi talab karne wala ki use rozi doon, hai koi mubtila ki use aafiyat doon, hai koi aisa hai koi aisa aur ye us waqt tak farmata hai ki fajar tuloo ho jaye.
(Sunan ibne maja, abwab e aqamatus salawat )