Sehri ki fazilat ahadees ki roshani me
Ham apne Rab ka jitna shukr ada karen kam hai , Ki usne hame mahe Ramzan ata farmaya . Ramzan ka har lamha hamare liye rahmat ka zariya hai . Allah ne apni bandagi ke liye roza rakhne ka hukm ata farmaya . Sehri karne par sawab ki khushkhabri sunai . sehri ki fazilat ke hawale se hadees me aaya hai .
تسحروا فان فی الصحور برکۃ Sehri karo ki sehri khane me barkat hai .
Huzoor ne ye bhi irshad farmaya : Hamare aur ahle kitab ke rozo me farq sehri ka luqma hai . [Muslim o Abu daood]
Sarkar ka farman hai . Teen 3 cheezo me barkat hai . 1 Jamat 2 sareed 3 sehri me .
Aap ye bhi farmate hain : Sehri khaa kar din ke rozo par madad lo .
Sehri kya hai ?
Roza rakhne ke liye fajar ka waqt shuru hone se pahle sehri khai jati hai . Sehri khana huzoor ki sunnat hai . Sehri me takheer karna afzal hai . Jaisa ki hadees me hai . Hazrat sayydna yaala bin murra riwayat karte hain ki Huzoor ne irshad farmaya : 3 Cheezo ko Allah pasand farmata hai .
- Aftar me jaldi karna .
- sehri me takheer karna .
- namaz ke qayam me haath par haath rakhna .
Sehri ki shuruaat kab se hui ?
Islam ke aagaz me sehri ka koi taswwr nahi tha . Roza rakhne wale ko sirf us waqt tak khane peene ki ijazat thi , Ki sooraj doobne ke baad jab tak so na jaye . Agar so gaya to uske liye khana peena mana ho jata tha . Allah tala ne apne bando par karam karte hue sehri me rukhsat farma diya .
Aik sahabi the Hazrat surma bin Qais mehnati kisan the , Aik din roze ki halat me poore din khet me kaam karke shaam ko ghar laute to biwi se khana manga . wo khana lene gain aur khud bistar par lette hi need aa gai . Jab unhen khane ke liye jagaya gaya to khane se inkar kar diya . thats why un dino me sone ke baad uth kar khana peena mana tha . aur kamzori ki wajah se be hosh ho gaye . Aap ki ye halat dekh kar Quran me aayat nazil hui .
وَكُلُوا وَاشْرَ ۚبُوا حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَكُمُ الْخَيْطُ الْأَبْيَضُ مِنَ الْخَيْطِ الْأَسْوَدِ مِنَ الْفَجْرِ ۖ ثُمَّ أَتِمُّوا الصِّيَامَ إِلَى اللَّيْلِ
Khap pio yahan tak ki subah ki sapedi zahir ho jaye . Phir raat aane tak roza rakho .
Khujoor aur pani se sehri karna sunnat hai / Sehri kis cheez se kare
Hazrat Anas bin malik farmate hain : ki Rasoolullah sehri ke waqt mujh se irshad farmate . Mera roza rakhne ka irada hai . Mujhe kuch khilao to main kuch khujoore aur aik bartan me pani pesh karta .
Sehri ka waqt kab se kab tak rahta hai .
Sehr us khane ko khate hain jo subah ke waqt khaya jaye . Hazrat Mulla ali qari farmate hain : Kuch logo ke nazdeek sehri ka waqt aadhi raat se shuru hota hai .
Sehri late karna afzal hai .
Hadees aak me hai ki Huzoor Irshad farmate hain : 3 cheezo ko Allah pasand farmata hai . Aftar me jaldi . sehri me takheer aur Namaz ke qayam me hath par hath rakhna .
Sehri ki dua hindi / Roza rakhne ki dua in urdu hindi
Jab sehri khaa le uske baad roza rakhne liye ye niyat kare .
نویت ان اصوم غدا للہ تعالئ من شھر رمضان ھذا
Main niyat karta hun is ramzan ke maheene ki kal Allah ke liye roza rakhuga .
aik doosri dua thoda alag lafz me milti hai wo ye hai .
و بصوم غد نویت من شھر رمضان
Aur main ne mahe ramzan ke kal ke roze ki niyat ki .
Sehri ki niyat
Sehri ki koi khaas niyat nahi hai . Balki zaban se roze ki niyat karna bhi zaroori nahi . Balki sirf dil me irada kar lena kaafi hai . Agar raat me khaa liya aur sehri ki niyat nahi ki to bhi roza mana jayega . Iski wajah ye hai ki sehri khana hi aik tarah se roze ki niyat karna hi hai .
Read more,,,,,,
Roze ke masail / waqt / niyat hindi me
Taraveeh ki namaz ka tarika hindi me
4 thoughts on “Sehri ki fazilat / Sehri ka bayan in hindi”