Salatul tasbih ka tariqa हिंदी में
Salatul tasbih ki bahut zyada fazilat hai . ham sab ko ye namaz zaroor padhna chahiye. Buzrugo ne farmaya : ki salatul tasbih ki fazilat ko sun kar is namaz ko na chode ga magar deen me susti karne wala .
Salatul tasbih ki fazilat Hadees ki roshani me
Huzoor ne Hazrat Abbas se farmaya : aye chacha kya main tum ko ata na karun . kya main tum ko bakhshish na karun. kya main tum ko na dun. kya main tumhare sath ehsan na karun?. 10 aadate hain ki jab tum karo to Allah tumhare gunah bakhsh dega . Agla pichla purana , naya , jo bhool kar kiya ya jaan boojh kar kiya . chota aur bada , posheeda aur zahir . us ke baad salatul tasbih ka tarika bataya aur farmaya : ki agar tum se ho sake ki har roz aik baar padho , to karo. aur agar roz na karo to har juma me . aur ye bhi na karo to har maheena me aik bar padho. aur ye bhi na kar sako to poori umr me aik baar zaroor padho.
[ Bahar e Shariat hissa 4 ]
salatul hajat ka tariqa aur fazilat
Salatul tasbih ka tariqa
Sunan e tirmizi me hazrat Abdullah bin mubarak se is namaz ka tariqa is tarh hai hai . Takbeer e tahreema ke baad sana padhe. Phir 15 baar ye tasbih padhe. سبحان اللہ و الحمد للہ ولا الہ الا اللہ واللہ اکبر .phir tawwz o tasmiya, Surah fatiha aur surat padh kar 10 baar upar wali tasbih padhe. phir ruku kare aur ruku me ruku ki tasbih ke baad 10 baar padhe. phir ruku se uthne ke baad takbeer ke baad 10 baar wahi tasbih padhe. Phir sajda me jaye aur sajda me 10 baar ye tasbeeh padhe . Phir sajda se sar uthaye to 10 baar padhe . Aur doosre sajde me bhi 10 baar tasbih padhe. Isi tarah se 4 rakat padhe. Aur ruku Sajda me سبحان ربی العظیم اور سبحان ربی الاعلی ke baad tasbih padhe.
[ Shami jild 1 page 643]
Is Namaz me konsi soorat padhna chahiye
Hazrat ibne Abbas se poocha gaya ki Aap ko maloom hai ki isme konsi soorat padhna hai. Aap ne farmaya . Surah Takasur , Surah Asr , Surah Kafiroon, Aur Surah Ikhlaas. Aur Kuch ulama ne kaha hai ki Surah Hadeed, Hashr, Surah Saf Aur Surah Tagabun padha jaye.
[ Raddul Muhtar 1/ 643]
Hazrat Ibne Abbas se riwayat hai ki is namaz me salam se pahle ye dua padhe.
اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ اَسْأَ لُکَ تَوْفِیْقَ اَھْلِ الھُدٰی وَاَعْمَالَ اَھْلِ الْیَقِیْنِ وَمُنَاصَحَۃَ اَھْلِ التَّوْبَۃِ وَعَزْمَ اَھْلِ الصَّبْرِ وَجِدَّ اَھْلِ الْخَشْیَۃِ وَطَلَبَ اَھْلِ الرَّغْبَۃِ وَتَعَبُّدَ اَھْلِ الْوَرَعِ وَعِرْفَانَ اَھْلِ الْعِلْمِ حَتّٰی اَخَافَکَ اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ اَسْأَ لُکَ مَخَافَۃً تَحْجُزُنِیْ عَنْ مَعَاصِیْکَ حَتّٰی اَعْمَلَ بِطَاعَتِکَ عَمَلاً اَسْتَحِقُّ بِہٖ رِضَاکَ وَحَتّٰی اُنَاصِحَکَ بِالتَّوْبَۃِ خَوْفًا مِّنْکَ وَحَتّٰی اُخْلِصَ لَکَ النَّصِیْحَۃَ حُبًّا لَّکَ وَحَتّٰیاَ تَوَکَّلَ عَلَیْکَ فِیْ الْاُمُوْرِ حُسْنَ ظَنٍّم بِکَ سُبْحنَا خَالِقِ النُّوْرِ-*
بہار شریعت جلد اول حصہ4،ص 686
Tarjuma of dua
Aye Allah Main tujh se hidayat walo ki taufeeq , Yaqeen walo ke aamal, Tauba walo ka khuloos, Sabr walo ka azm ,Khashiyyat walo ki buzrugi , Ragbat walo ki talab , Nek logo ki ibadat , Ilm walo ka irfan mangta hun. Ki mere dil me bhi tera khauf paida ho jaye. Aye Allah main tujh se aisa khauf mangta hun jo mujhe na farmani se roke , Yahan tak ki main teri itaa’t ki khatir aisa kaam karun , Jin se teri riza ka haqdaar ho jaun . Aur teri bargah me khuloos ke saath tauba karun . Aur sirf tujh se mohabbat karun ,Aur tamam umoor me tujh par bharosa karun. Paak hai noor ka paida karne wala.
Lihaza ham sab ko salatul tasbih ki namaz zaroor padhna chahiye .
Read More ..
Qaza namaz ka tarika | qaza namaz ki niat aur rakat
Auozubillah aur Bismillah ki fazilat / bismillah ki barkat
1 thought on “Salatul tasbih ka tariqa हिंदी में”