Salatul hajat kaise padhe | How to perform saltul hajat

Namaz e hajat ka tareeqa / salatul hajat ka tarika

    Namaz e hajat ki hadees me bahut ziyada fazilat hai. Hazrat huzaifa se riwayat hai. Ki jab Huzoor Sallaahu alaihi wasallam ko koi aham kaam pesh aata, to aap 2 rakat ya 4 rakat namaz padhte.

Salatul hajat kaise padhen

Namaz e hajat ki 4 rakat padhte. Pahli rakat me surah fatiha aur 3 baar ayatul kursi padhte. Aur baqi 3 rakato me Surah fatiha aur surah ikhlas padhte. 3sri rakat me Surah fatiha aur Surah falaq padhte. Aur chauthi rakat me Surah fatiha aur Surah Naas padhte.

salatul hajat ki fazilat


                                         Ulama farmate hain ki ham ne ye namaz padhi aur hamari hajate poori hui.
Tirmizi aur ibne maja me Hazrat Abdullah bin aufa radiallahu anhu se riwayat karte hain. Ki Huzoor sallahu alaihi wasallam Farmate hain : Jis ki Koi hajat Allah ki taraf ho ya kisi insan ki taraf. To wo achchi tarah wazu kare phir w rakat namaz padh kar Allah ki tareef kare aur Huzoor par durood bheje. Phir ye dua padhe.


لا إلٰہَ إلاَّ اللّٰہُ الْحَلِیْمُ الْکَرِیْمُ سُبْحَانَ اللّٰہِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِیْمِ، اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعَالَمِیْنَ، أسْئَلُکَ مُوجِبَاتِ رَحْمَتِکَ وَعَزَائِمَ مَغْفِرَتِکَ وَالْغَنِیْمَةَ مِنْ کُلِّ بِرٍّ وَالسَّلَامَةَ مِنْ کُلِّ إثْمٍ لَاتَدَعْ لِیْ ذَنْبًا إلاَّ غَفَرْتَہ وَلاَہَمًّا إلاَّ فَرَّجْتَہ وَلاَ حَاجَةً ہِیَ لَکَ رِضًی إلاَّ قَضَیْتَہَا یَا أرْحَمَ الرَّاحِمِیْنَ․ (سنن الترمذی رقم: ۴۷۹)


        Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi jo kareem hai. Paak hai. Allah malik hai Arsh e azeem ka. Hamd hai Allah ke liye jo malik hai sare jahan ka. Main tujh se teri rahmat mangta hun aur teri maghfirat ke asbab mangta hun. Aur har nek kaam se ganeemat aur har kaam se salamati. Mere koi gunah bagair maghfirat ke na chod. Har gham ko door kar de. Aur jo hajat teri Raza ke mowafiq hai use poora kar de aye sab mehrbano se ziyada mehrabaan.

      Namaz e hajat yani salatul hajat har aise waqt me zaroor pdhna chahiye. Jab ham bahut pareshani me hote hain. Ya phir hamara koi kaam nahi ban pata. To namaz e hajat ki barkat se wo kaam ban jayega.

salatul hajat ki niyat kaise karen

Niyat ki main 2 ya 4 rakat namaz salatul hajat ki waste Allah tala ke . Munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akbar. phir sab se pahle

  • Sana padhe
  • Tauuz yani auzubillahi minash shaitani rajeem padhe.
  • Phir Bismilla padhe.
  • Surah fatiha ki tilawat kare.
  • Koi surat padhen [ ya upar jo surat batai gai hai wo padhe.
  • Phir ruku sajda karen.
  • Ruku sajde ki tasbeeh kam se kam 3 baar padhen.
  • Phir doosri rakat bhi waise hi padhen.

Salatul Hajat ka waqt aur Time 

Salatu hajat ka waqt koi muqarrar nahi hai . Insan ko jab bhi waqt mile salatul hajat pdh sakta hai . Bus itni baat ka khayal zaroor rakhe ki wo waqt makrooh waqt na ho . Makrooh waqt me har tarah ki nafil namaz padhna mana hai . 

Makrooh waqt konsa hota hai 

  • Sooraj niklne ke waqt se lekar 20 minute lag bhag koi namaz na padhe .
  • Zawal ke waqt , Jab ki sooraj aasman ke beech hota hai us waqt bhi namaz nahi padhna hai . 
  • Isi tarah sooraj ke doobte waqt usi din ki asar ke alalawa koi bhi namaz nahi padhna chahiye .

Read more..

वजू की फ़ज़ीलत | वजू नमाज़ की कुंजी है | wazu ki fazilat

Juma ke din durood shareef padhne ki fazilat

4 thoughts on “Salatul hajat kaise padhe | How to perform saltul hajat”

Leave a Reply