Sajda e sahu ka tarika aur masail .
Sahu ke maana ” Bhool ” jana hai . Kabhi shaitan namaz me tarah tarah ke waswasw dal kar namaz kharab karne ki koshoish karta hai . Us galati ki talafi ke liye shariat me ” Sajda e sahu ” ka hukm diya daya hai .
Hadees shareef me hai : Jab tum me se koi shakhsh namaz padhne khada hota hai , Then shaitan uske paas aakar usko shubha me dalta rahta hai . Yahan tak ki use pata nahi rahta ki usne kitni rakat namaz padhi . Thats for agar tum me se koi ye baat mahsoos kare to namaz ke last me dahini taraf salam pherne ke baad 2 sajde kare .
[ Muslim 1293]
Sajda e sahu kaise karen / Sajda sahw in urdu
Qaada e akheera me tashahhud padhne ke baad dahini taraf salam phere . Phir Allahu akbar kahta hua sajda me jaye . Aur namaz ke sajde ki tarah 2 sajde kare . Us sajde me kam se kam 3 baar Subhan Rabbiyal Aala padhe .
Jab doosre sajde se sar uthaye to baith kar Tashahhud , Durood shareef , Duaye masoora padh kar salam pher de . [ Shami 5/ 346 ]
Sajda e sahu kab wajib hota hai ? Sajda sahw kab wajib hota hai ?
Namaz ke wajibat me se koi wajib bhool kar choot jaye to sajda sahw wajib ho jata hai .
- for example qada oola choot jaye .
- Wajib me bhool se takheer ho jaye .Jaise surah fatiha ko surat ke baad padh le .
- kisi farz me bhool se takheer ho jaye , Jaise qaada e oola me tashahhud ke baad ” Allahumma salli ala muhammad Muhammad ” tsk durood padhne se teesari rakat ke qayam me takheer ho jaye .
- Kisi farz ko bhool kar dubaara ada kar de , For example 2 ruku kar le ya 3 sajda kar le .
- koi farz bhool kar bhi choot jaye to namaz fasid ho jayegi . Sajda sahw se namaz sahi nahi hogi .
- koi wajib jaan boojh kar chod de to namaz lautana zaroori hai . Sajda sahw kaafi nahi hoga .
- Sunnat ya mustahab choot jaye to sawab me kami hoti hai , Sajda sahw wajib nahi hota .
- Farz , wajib , sunnat aur nafil namazo me kisi bhi namaz me sajda sahw ko wajib karne wali koi cheez pai jaye to sajda sahw karna wajib hoga .
- Agar ” Attahiyyat ” ke baad salam phere bagair sajda sahw kar liya to bhi namaz ho jayegi .
- dono taraf salam pherne ke baad sajda sahw yaad aaya , Phir sajda sahw yaad aaya to kar le namaz ho jayegi . [ Shaami 5 / 388]
- Agar namaz me 1 se zyada sahw ho jaye tab bhi 1 martaba sajda sahw karna kaafi hoga .
Aur padhen,,,,