Kya hazrat bilal ki zuban me luknat thi.

Bahut se log ye hadees ke taur par bayan karte hain ki 1 baar hazrat Bilal ne azan na di. to sooraj hi nahi nikla iski kya asl hai.

kya ye riwayat sabit hai?

Ahadees ki kitabon me istarah ka koi waqya nahi milta jo logon ne apne taur par gadh liya hai. Hazrat Bilal ki zuban me koi luknat na thi. ki jis ki wajah se unse ”sheen” ki jagah seen ada hota tha. phir bhi kuch lgo ne yaha tak kah diyaki aik baar huzoor ne logo ki shikayat par azan dene se mana kar diya tha. jiski wajah se subah hi nahi ho rahi thi . aur sare sahaba so so kar pareshan ho gaye the. Phir Hazrat bilal ke bare me huzoor ne farmaya . Bilal ki ”Seen” Allah ke nazdeek Sheen hai. jab tak wo azan na de subah nahi ho sakti. Ye hadees bilkul gadhi hui hai. isliye isko hadees bol kar bayan karna najaiz hai.

Shaikh Maryee Bin Yousuf bayan karte hain . Jo logon me hazrat Bilal ki zuban ki luknat ke bare me mash-hoor hai wo galat hai. Aisi koi hadees kitabo me nahi milti.

Hadees ko Gadhne ka Gunah

huzoor ki taraf koi aisi baat mansoob karna jo aap ne nahi kaha gunah hai. huzoor farmate hain: jis ne mujh par jhoot bandha wo apna thikana jahnnam bana le.

isliye hadees bayan karne me poora khayal hona chahiye.

Leave a Reply