Sadqa e fitr kitna wjib hai / Sadqa e fitr kis par wajib hai

Sadqa e fitr kitna wjib hai / Sadqa e fitr kis par wajib hai ?

 

Har malik e nisab par apni taraf se aur apne matahton ki taraf se sadqa e fitr ada karna wajib hai . sadqae fitr ki miqdar huzoor ne bataya hai .

Sadqa e fitr me Huzoor ﷺ ne kai cheezo ka zikar farmaya hai . Sahaba e kiram sadqa e fitr me Khujoor , Kishmish , Jau ,Paneer wagairh ada karte the . Sadqae fitr me jin cheezo ka zikr hai un me se kisi se bhi ada karne se ada ho jayega , Lekin mukhtalif cheezo ke zikr me hikmat ye bhi hai ki Samaj me log apni haisiyat ke eitibar sadqae fitr ada kare . Malik e nisab me jo sab se neeche tabqa ke log hon wo gandum a jau se sadqae fitr ada karen . Jo darmiyana tabqa se talluq rakhte hain wo khujoor se ada karen . Aur jo aala tabqa se talluq rakhte hon wo kishmish se sadqae fitar ada karen .

Sadqa e Fitr kitna ada karen ?

Har Jagah ki Qeemat alag alag hoti hai , Aap ke samne aik andaza aur wazan rakh dete hain aap usi hisab se Apne ilaqe aur shahar ke hisab se sadqa e fitr nikal sakte hain .

Gandum / Gehun          2kg 47 gm             30 rs kg           60 rs Lagbhag 

    Jau                                 4kg 94 gm              25 rs kg            100 rs Lagbhag

    Khujoor                           4kg 94 gm              200 rs kg         800 rs Lagbhag

    Kishmish                           4kg 94 gm              280 rs kg       1125 rs Lagbhag

     Paneer                           4kg 94 gm              250 rs kg         1000 rs Lagbhag

 

Mazeed Masail Insha Allah jald pesh kiye jayenge . Sadq e fitr ke bare me aur maloomat ke liye masailworld.com visit kare .

Sadqa e Fitr ka sharai Hukm kya hai ?

Ans . Sadqa e fitr jis ko fitra bhi kaha jata hai wajib hai .

Question . Sadqa e fitr muqarrar karne ki kya hikmat hai ?

Ans . Sadqa e fitr muqarrar karne ki 2 hikamate hain :

(1) Fuzool aur behooda kamon se rozo ki safai ho jaye . jo roze ki halat me ham ne din me kiye hain .

(2) Masakeen ko rozi aur khoorak hasil ho jaye . Taki wo bhi doosare musalmano ki tarah Eid ki khushiyan mana saken .

Question . Sadqa e fitr kin par wajib hai ?

Ans. Sahib e Nisab musalman par sadqa e fitr ada karna wajib hai . Un ka nisab , Hajat e asliyya yani zarooriyat e zindagi se farigh ho .

( Fatawa aalamgiri ) 

Question . Sahib e Nisab kis ko kahte hain ?

Ans . Sahib e nisab wo hai jis ke paas sadhe 52 tola chandi ya sadhe 7 tola sona ya Saadhe 52 tole chandi ki qeemat ya utni maliyat ka samane tijatay mojood ho . Ya utni hi maliyat ka hajat e asliyya ke alawa saman ho to usko sahib e nisab kaha jata hai .

( Bahare Shariat )

Read More..


Roze ke masail / Niyat / waqt in Hindi

 

3 thoughts on “Sadqa e fitr kitna wjib hai / Sadqa e fitr kis par wajib hai”

Leave a Reply