Saal me kitne din roza rakhna haram hai

Saal me kitne din Roza rakhna haram hai ?

Saal me kuch aise din hain jin me roza rakhna haram hai . Poore Saal me 5 din ke roze rakhna haram hai .

  1. Eidul fitr ke din ka Roza .
  2. Baqra Eid Yani Eidul Adha ke din ka Roza .
  3. 11 Zil hijja ka Roza .
  4. 12 Zil hijja ka Roza .
  5. 13 Zil hijja ka Roza .

Hadees me In dino ka Roza rakhna mana kiya gaya hai .

حدیث شریف میں ہے کہ
قال رسول الله صلی اللّٰه تعالى عليه وسلم و یوم النحر وایام التشریق عیدنا اھل الاسلام و ھی ایام اکل وشرب ” اھ ‘( ترمذی

 شریف ج 1 ص 281 / الریاض النظرة فى فضائل الحج و العمرۃ ج 1 ص 218 )

Saal me kitne din roza rakhna haram hai hadees ki roshani me .

Hadees Shareef me hai nabi e kareem Salllahu alaihi wasallam ne irshad farmaya . Qurbani ka din aur ayyam e tashreeq Ahle Islam ke nazdeek Eid ka din hai . Ye khane peene ka din hai . In me roza rakhna haram hai .

عن ابی سعید الخدری نھی رسول اللہ ﷺ عن صیام یومین ۔ یوم الفطر و یوم الاضحی ۔

[ Abu daud , Al sunan , ]

Huzoor Ne do dinon me Roza rakhne se mana farmaya . Eid ke din aur eidul adha ke baad teen din tak .

Huzoor ne irshad farmaya : Ayyam e tashreeq khane peene ka din hai . [ Muslim shareef ]

Note : Bahut sare log eidul adha ko roze ki niyat se namaz tak khate peete nahi hain . aisa nahi karna chaiye . Aur roze ki niyat se khane peene ruke rahna haram hai .

Agar aap aur kuch masail poochna chahte hain to Masail world par aap apne sawalat pooch sakte hain .

whatsapp No : 9324401803

Email : Admin@masailworld.com


Traveeh ki namaz ka tareeqa – hindi

 

3 thoughts on “Saal me kitne din roza rakhna haram hai”

Leave a Reply