Roze Me paan tambaku muh me rakhna
Bahut se log ye samjh kar paan ya tambaku wagairah mu me rakhte hain ki usko thook diya jayega to Roza nahi tootega . Lekin aisa bilkul nahi hai . Jab paan ya tambaku muh me rakha jayega , To uska kuch zarra halaq me zaroor jayega . Aur tambaku jaise khai jati hai wo agar munh me dali jayegi to yaqeenan uska kuch zarra thook ke sath muh me jayega . Aur istarah se tambaku ka maqsad bhi poora hoga .
Fiqah me ye baat jo guman se talluq rakhti hain wo yaqeen ke darje me hain . In sab cheezo ke istemal se jin se roza toot jata hai , Sirf qaza hi nahi , Balki kaffara bhi lazim hoga .
Isliye Roze Me paan tambaku Aisi cheez se bachna chahiye jis se roza tootne ka guman tak hai . Aur in sab cheezo ke khane peene me aik darja yaqeen tak pahunch jat hai , Ki zaroor kuch na kuch hissa munh me jayega . Jis se Roza toot jayega .
2 thoughts on “Roze me muh me paan tambaku rakhna aur thook dena kaisa”