Roze ki halat me tooth paste karna kaisa hai / miswak karna

Roze ki halat me tooth paste karna kaisa hai / miswak karna

Questions : (1) Roze ki halat me tooth paste karna kaisa hai ?. 
                    (2) Roze mein "Miswak” kr sakte hain?

Answer :
(1) Roze ki halat me tooth paste krna mana hai. Fatawa Ahle Sunnat qist 9 page 13 par hai :Roze ki halat me tooth paste krna agar cheh Na jaiz O haram Nhi, magar bila zarurt e sahiha "Makrooh” zaroor hai .

Sayaddi Imam Ahmad Raza Khan Fazle barely (R, A) isi tareh ke Sawal ke Jawab me Farmate hain . :Manjan (Tooth paste) na jaiz O haram Nhi, jabki dil me Yeh Pura yaqeen ho ki Manjan ka koi (Juz) zarra munh mein Nhi jayega .  magar kisi zarurt e sahiha ke begair "karahat ” zaroor hai .

Durre Mukhtar mein hai : Roze daar ko kisi cheez ko test (chakhna) krna Makrooh hai . (Fatawa Razviyah Jild10 page 551) .
Chunki toothpaste me ziyada imkan hai ki koi juz (zarra) moonh me chala Jaye is liye Roze ki halat me us se zaroor parhez kiya Jaye .
Sayaddi Aalahazrat Imam Ahmad Raza khan (R. A) Farmate hain .   Ramzan me Manjan malna na chahiye .  (Fatawa Razviyah Jild10 page 511) .

Answer 2 ]

Baqi Raha Miswak krna toh woh Roze ke begair jin jin muamalat me "Sunnat” hai same Wahi Hukm Roze ka bhi hai . (mean Roze me bhi Sunnat ha).
Fatawa Ahle Sunnat qist 9 page 14 pr hai : Roze ki halat me Har qism ki Miswak kr sakte hain .  Us ke krne se roza Nhi tootta hai . Balki Jis tareh aam Dino me Miswak krna Sunnat hai isi tareh Roze ki halat me bhi Sunnat hai.

Haan albatta Yeh baat dimag me ho ki agr roza daar Hona yaad ho aur Miswak chabane se reshe tooten ya zaiqa Mahsoos ho toh chabane se bachna chahiye .
Fatawa Aalam giri mein hai: Roze ki halat me Miswak karne me koi haraj Nhi hai . khwah Miswak khushk(sukhi) ho ya tar,(gili) .  Chahye subeh ko ki Jaye ya shaam ko .

Yunhi Sadrusshariya Mufti Mohammad Amjad Ali(R. A) farmate hain .  Roza mein Miswak khushk ho ya tar, agr cheh Pani se kre, zawal se pehle kre yaa baad mein kisi bhi waqt Makrooh Nhi hai . Aksar logon me mash’hoor hai ki Rozedaar ke liye dopaher baad Miswak krna Makrooh hai  Yeh hamare mazhab ke khilaf hai . (Bahare Shariyat Jill 1, page 997) .

Fatawa Razviyah jild 10 page 511 pr Huzur Aalahazrat Farmate hain.

Miswak krna Sunnat hai Har waqt kar sakte hain agr cheh asr baad ya teesre paher ko kre . Albatta agr chabane se Miswak ke zarre tooten ya maza Mahsoos ho toh nahi karna  chahiye .

                                                                            والله اعلم بالصواب

Sehri ki fazilat / Sehri ka bayan in hindi

Roze ke masail / Niyat / waqt in Hindi

1 thought on “Roze ki halat me tooth paste karna kaisa hai / miswak karna”

Leave a Reply