Roze ki halat me "Covid vaccine” isteml karna kaisa hai?
Assalamualaikum wa Rehmatullah wa barakatuh .
Question : Roze ki halat me "Covid vaccine” isteml krna kaisa hai?
Kiya farmate hain Ulmaye kiram is masle mein ki Covid Vaccine istemal karna Roze ki halat mein istemal krna kaisa hai?
Hawale ke saath Jawab ata farmayen . Karam hoga.
Walekumussalam wa Rehmatullah wa barakatuh.
Answer : Covid19 vaccine ka isteml agr cheh bila zarurt e sharyi mana hai (Mean jab tak ki us vaccine ka koi badal aur hilak hone ka galib guman na ho) lekin is ke bawjood lagwane se roza Nhi toot, ta hai .
Kyn ki is ke Hawale se zabta e kulliyah Yeh ha ki jima(Hambistiri) aur uske mulhiqaat for example (French kiss) ke ilawa roza todne wali sirf woh dawa aur giza hai, Jo masamaat (body ke woh suraakh jisse paseena nikalta hai) aur ragon ke ilawa kisi aur manfaz (Rasta, Zariyah)se sirf dimag ya pet mein pahunche .
Jaisa ki Durre Mukhtar jild 2 page 108 pr hai :
الضابط وصول ما فيه صلاح بدنه لجوفه
Is ki tashreeh mein Allama ibne Aabdeen Shami Fatawa Shami jild page 108 pr tehreer krte hain :
ذكره المحققون أن معنى المفطر وصول ما فیہ صاللذي لاح البدن إلى الجوف أعم من كونه غذاء أو دواء
Aur Fatawa Aalam giri jild1 page 191 pr hai :
أكثر المشائخ على أن العبرة للوصول إلى الجوف والدماغ
Aur isi ke Safa pr saaf tashreef hai:
ما يدخل من مسام البدن من الدهن لا يفطر، هكذا في المجمع
In ibaraton se zahir ho gaya ki body ke under kisi jageh dawa ya Giza ka masam ke zariye pahunchne se roza Nhi toot, ta hai.
Lihaza Covid 19 vaccine lene se bhi roza Nhi toote ga. Lekin afzal aur behtar Yeh hai ki iftar baad liya Jaye .
Read More ,,,,,,,,,
1 thought on “Roze ki halat me "Covid vaccine” isteml karna kaisa hai?”