Rizq e halal ki fazilat in hindi

Halal Rizq ke fazail

Maal hasil karne aur rizq e halal ke asbab me sab se ziyada jis ki zaroorat padti hai. Aur aksar jis se sabqa hota hai wo khareed o farokht hai. Isliye tijarat ke Masai ka janna bahut zaroori hai. Kuch Ahadees aap pdhen.

Hadees : Sahih bukhari shareef me Miqdam bin maadikarab se riwayat hai ki Huzoor Sallaahu alaihi wasallam ne farmaya : Us khane se behtar koi khana nahi jis ko kisi ne apne haath se kaam karke hasil kiya ho. Aur beshak Allah ke Nabi Daud Alaihisallam apne haath se kama kar khate the.


Hadees. Sahih Muslim shareef me Hazrat Abu Huraira se riwayat hai ki Huzoor irshad farmate hain ki : Allah paak hai aur paaki yani rizq e halal ko Allah dost rakhta hai. Aur Allah tala ne momineen ko bhi rizq e halal ka hukm diya hai. jis ka rasoolon ko hukm diya. Us ne rasoolon se farmaya. یا ایھا الرسل کلوا من الطیبات واعملوا صالحا
Aye Rasoolo paak Cheezo se khao aur achche kaam karo.
Aur Momino se Allah ne farmaya : یا ایھا الذین آمنوا کلوا من الطیبات ما رزقنکم
Aye Iman walo jo kuch ham ne tum ko diya un me paak Cheezo ko khao.
Phir bayan farmaya ki aik insan lamba safar karta hai jis ke baal pareshan hain aur badan gard aalood hai. Yani uski halat aisi hai ki jo dua kare wo qubool ho.
Wo asman ki taraf haath utha kar Ya Rab, Ya Rab kahta hai. Dua karta hai magar halat ye hai ki, uska khana haram, peena haram, kapda haram aur khana Haram phir uski dua kyn qubool hogi.
Hadees : Sahih bukhari me hazrat Abu huraira se riwayat hai ki Huzoor sallaahu alaihi wa sallam ne farmaya : Logo par aik zamana aisa aayega ki aadmi parwah bhi na karega ki us cheez ko kahan se hasil kiya hai, halal hai ya haram.

rizq e halal


Hadees : Tirmizi ki riwayat hai Ummul momineen hazrat Aisha se riwayat hai ki Huzoor sallaahu alaihi wa sallam ne farmaya : Jo tum khate ho unme sab se ziyada pakeeza wo hai jo tumhari mehnat se hasil hua hai.


Hadees : Imam Ahmad aur Darmi ne Hazrat Jabir Radiallahu anhu se riwayat kiya hai ki Huzoor ne farmya : Jo Gosht haram se uga hai wo jannat me dakhil nahi hoga. Aur jo gosht haram se uga hai uske liye aag ziyada behtar hai.
Isliye har haal me maal jahan se hasil kiya ja raha hai us jagah ko bhi dekh liya jaye ki rizq hal hai ya haram hai. Agar halal rizq hai to hi us taraf hath badhaya jaye. Isliye ki haram rizq khane se allah ne mana farmya hai. Aur iske bahut ziyada nuqsaanat bhi hain.

isliye ham sab ko chahiye ki rizq e halal kamane aur khane ke liye khoob mehnat karen . Jo log rizq e halal ko chod dete hain aur haram khane me lage rahte hain Allah unke dil ko murda kar deta hai . jo banda haram rizq khata hai uski 40 din ki ibdat me koi taseer nahi rah jati.

Leave a Reply