Ramzan 2021 ka chand / Ramdan kab 2021
Ramzan kab 2021 se hai ye chand dekh kar hi pata lagta hai . Albatta Ramzan islami saal ka 9wan maheena hai . musalmano ke yahan is maheene ki kaafi ahmiyat hai . Is maah me roza , Taraweeh ka khusoosi ehtimam hota hai . Chand ki baat karen to 2021 me agar 12 april ko chand nikalta hai to , Pahla Roza 13 April ko hoga . Pahli Taraweeh 12 ki shaam me padhi jayegi .
Aur Agar Chand 13 April ko hota hai to first roza 14 ko aur pahli taraweeh 13 ki shaam me hogi .
Ramzan ka chand dekh kar ye dua padhe.
Mahe Ramzan ka chand dekhne ka khusoosi hukm Huzoor ne farmaya hai . Jab mahe ramzan ka chand nazar aaye to ye dua Padhna chahiye .
Allahumma Ahillahu Alaina bil amani Wal Imani was-salamati Wal Islami , Rabbi wa – Rabbukllahu Ya hilal .
Aye Allah is Chand ko hamare uoopar iman , aman ,salamati aur islam ke saath tulu farma . Aye Chand mera aur tera Rab Allah hai .
Chand dekhne ki dua hindi me
अल्लहुमा अहिल्लहु अलैना बिल अमनी वल इमानि वस्सलामाती वल इस्लामी रबी व रब्बुकल्लाहु या हिलाल .
2021 me Eid kab hogi / Eid 2021
Mahe ramzan jo ki muslims ke liye khaas maheena hai . Jis me log mukammal tarah se ibadat me lage hote hain . Maheene ke last me Allah ka shukr ada karte hue ki aisa pakeeza maheena ata farmaya Eid manate hain . Ye maheena agar 29 ka raha to chand dekh 12 May Eid manaya jayega . Aur agar 30 din ka maheena ho to phir 13 may ko Eidul fitr hogi .Jis me ham musalman jama hokar aik saath ibadat karte hain .
Sehri ka time in 2021 / Sehri time table 2021
Sehri ka time Subah e sadiq se pahle tak rahta hai . Yani Fajar ki azan se lagbhag 20 minute pahle tak sehri khai ja sakti hai . Har jagah ki sehri ka time alag alag hota hai . Isliye yahan par Aap ko sehri ka time nahi bataya ja raha hai . Agar aap ko kisi jagah ki sehri ka time chahye to Diye gaye number par whatsupp ke zariye pooch sakte hain .
Sehri ka starting time nahi hota hai . Agar koi Isha ki namaz ke baad hi sehri ki niyat se khaa le phir usi se roza rakhe to roza mana jayega . Albatta Sehri ka jo behtareen waqt hai wo sehri ka last time hai .
Sehri ki dua aur niyat
Sehri khane se pahle khane ki dua padhna chahiye . Bismillah padh kar bhi sehri khaai ja sakti hai . Sehri khane ke baad ye niyat karna chahiye .
نویت ان اصوم غدا للہ تعالئ من شھر رمضان ھذا
Main niyat karta hun is ramzan ke maheene ki kal Allah ke liye roza rakhuga .
aik doosri dua thoda alag lafz me milti hai wo ye hai .
و بصوم غد نویت من شھر رمضان
Aur main ne mahe ramzan ke kal ke roze ki niyat ki .
dono Duawo me se jo bhi aap ko yaad ho aap apni suhoolat ke eitibaar se padh sakte hain . Ye Dua hadees se sabit hai .
Read More …..
Sehri ki fazilat / Sehri ka bayan in hindi
Roze ke masail / Niyat / waqt in Hindi