Quran ki tilawat ki fazilat / quran ki fazilat

Quran ki tilawat ki fazilat

          Quran majeed Allah ki aakhri kitab hai jo logo ki hidayat ke liye nazil ki gai. Iska padhna aur samjhna bahut zaroori hai. Quran padhne walo ki Allah Tala ne bahut fazilat bayan farmai hai.
          Tilawat ke aadab me ye hai ki, Tilawat karne wala qibla ki taraf sar jhuka kar adab aur waqar ke saath Ustad ke samne baith kar tilawat karne wale ki tarah baith kar tilawat kare. Masjid me namaz ke andar Quran ki tilawat karne ka sab se ziyada sawab hai. Bistar par late kar hifz se quran padhne me bhi sawab hai magar kam hai. Jaisa ki Allah tala ne irshad farmaya :
الذین یذکرون اللہ قیاما و قعودا و علی جنوبھم ویتفکرون فی خلق السموات والارض


     Wo Jo Allah tala ko khade baitjhe aur apne pahluwo par lete yaad karte hain aur aasman o zameen ki paidaish par gaur karte hain.
         Hazrat Ali ne farmaya jo shaksh namaz me khade hokar Quran padhta hai Uske liye har harf par 100 nrkiya likhi jati hain. Jo shaksh baith kar namaz padhta hai uske liye har harf par 50 nekiya hain. Aur jo shaksh namaz ke bahar ba wazu quran ki tilawat karta hai uske liye 25 nekiya hain. Aur jo bagair wazu Quran padhta hai uske liye 10 nekiya hain. Quran ki dekh kar tilawat kar bagair dekhe tilawat karne se afzal hai. Isliye ki Quran ka choona, uthana, dekhna sab sawab ka kaam hai.

Quran ke sawab ko mamooli samjhne wale ko tanbeeh
Hazrat Abdullah bin umar radiallahi anhu se riwayat hai ki Rasoolullah sallaahu alaihi wasallam ne farmaya : Jis ne Quran phir usne ye samjha ki jo usko sawab mila hai usse badhkar kisi ko sawab mil sakta hai to us ne yaqeenan usko mamooli samjha jis ko Allah tala ne azeem kiya hai.

Dil ka ilaj quran se | दिल का इलाज कुरान से 

Hazrat Abdullah bin umar se riwayat hai ki Sarkar e madeena ne irshad farmaya : Dilon ko bhi zang lag jata hai jis tarah lohe ko zang lag jata hai jab use pani lag jaye. Arz kiya gaya dil ki safai kis tarah hoti hai. Huzoor ne farmaya maut ko kasrat se yaad karna aur Quran ki tilawat karna.


Qayamat me Quran ki Shifarish | क़यामत में कुरान की शिफारिश 

Hazrat Jabir se riwayat hai ki Sarkar e madeena ne irshad farmaya : Quran Shifa’at karne wala hai uski Shifa’at qubool hogi. Aur Quran Mukhalafat karne wala hai iski Mukhalafat bhi qubool hogi. Jo shaksh Quran ko peshwa banayega use wo jannat me le jayega. Aur jo use peeth ke peeche dalega yani uski tilawat nahi karega usko wo jahannam me pahunchayega.

(الترغیب والترہیب)


Quran ke hafiz ko zameen ki mitti khaa nahi sakti. Zameen kahti hai aye mere Allah main iske jism ko kaise khaa sakti hun jab ki iske jism me tera kalam mojood hai .

Tilawat ke beech me rona | तिलावत करते हुए रोना | Quran ki tilawat ki fazilat

Tilawat ke saath rona mustahab hai . Huzoor ﷺ ne irshad farmaya hai ki : Tum Quran ki tilawat kiya karo aur uske saath roya karo . Agar na ro sako to rone jaisa andaaz ikhtiyaar kar liya karo . 

( Ibn e maaja ) 

Allah tala farmata hai : Wo Ahl e Iman rote hain sajda rez ho jate hain . ( Bani Israeel ) 

Bukhari aur Muslim shareef ki hadees shareef hai ki Hazrat Ibne masood radiallahu anhu Huzoor ﷺ ki bargaah me Qiraat kar rahe the , Us waqt Huzoor ﷺ Ro rahe the . 

( Bukhari o Muslim )

Aayat ke Huqooq ka lihaaz rakhna | आयात के हुकूक का लिहाज़ रखना 

Sajda ki aayat aaye to tilawat karne wala sajda kare . Hazrat Abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki Huzoor ﷺ ne Irshad farmaya : jab Ibne aadam aayat e sajda padhta hai , Phir sajda karta hai to shaitaan rota hai . 

Aik riwayat me hai ko shaitan kahta hai : Hay meri hilakat ho , Ibne aadam ko sajda ka hukm diya gaya aur wo sajda rez ho gaya aur usko Jannat mil gai . Mujhe sajda ka hukm diya gaya to main ne inkaar kar diya , Isliye mere hisse me jahannam hai . 

( Attargeeb wat tarheeb ) 

Toilawat Achci Aawaz me karo | अच्छी आवाज़  में तिलावत 

       Hazrat baraa Bin Aazib se riwayat hai kiHuzoor ﷺ ne farmaya : Tum apni achchi aawaz se Quran ko muzayyan karo . Jitna ho sakta hai utne behtar andaaz me tilawat karo .

( Al Targeeb , jild 1 , page 582 ) 

Huzoor ﷺ aik raat Hazrat aayesha radiallahu anha ka intizaar kar rahe the ki Ummul momineen Hazrat Aaisha radiallahu anha takheer se hazir huin . Huzoor ﷺ ne daryaft kiya kaise takheer hui ? Unhon ne arz kiya Ya Rasolallah ﷺ : MainQirat sun rahi thi , Main ne is se achchi aawaz nahi suni . Huzoor ﷺ utha kar tashreef le gaye aur bahut der tak sunte rahe , Phir wapas tashreef laaye aur farmaya ki ye Abu huzaifa ke maula saalim hain . Allah ki tareef hai ki jis ne meri ummat me aise shakhsh ko bhi paida farmaya hai . 

Isi tarah Huzoor ﷺ ne apne aik sahab hazrat Moosa radiallahu anhu se aik baar Qiraat suni to farmaya : Inko aal e Dauood ki khush aawazi ka 1 hissa mila hai . 

( Bukhari o Muslim )

Jab Hazrat Moosa radiallahu anhu ko ye tareefi kalimaat pahunche to unhon ne Huzoor ﷺ ki bargaah me hazir hokar arz kiya , Agar mujhe maloom hota ki Sarkaar ﷺ sun rahe hain to main aur haseen o jameel aawaz me padhta . 

( Ahyaaul uloom )  

 


Auozubillah aur Bismillah ki fazilat / bismillah ki barkat

 

3 thoughts on “Quran ki tilawat ki fazilat / quran ki fazilat”

Leave a Reply