Qaza namaz ka tarika | कज़ा नमाज़ का तरीका , नियत और रकात
Aaj ham aap ko qaza namaz ka tarika batayenge .Balig hote hi har musalman par namaz farz ho jati hai . Uske liye namaz ada karna zaroori ho jata hai . Aur namaz ka chodne wala saza ka mustahiq hota hai . Jane ankane me hamari bahut si namazen qaza qaza ho jati hain ,Jin ka ada karna zaroori hota hai .
Kuch namazo ke bare me to hame yaad rahta hai , Lekin bahut si namazo ke bare me ham bhool jate hain . Phir baligh hone ke baad hamari kitni namazen chooti hain , Iska hisab lagana bhi hamare liye bahut mushkil ho jata hai . Kabhi kabhi hame namaz pdhne ka khayal aata bhi hai to ye soch kar hamen khud mahsoos hota hai , Ki itni saari namazo ki qaza ham kaise pahen .
Qaza namaz ka hisab kaise karen
Qaza namazon ke hisab karne ka tarika ye hai ki , Jab se balig hue us waqt se lekar ab tak ke din ka husab kar len . Jaise ki agar balig hue 5 ssal guzar gaye to un 5 saalon ke din ki tadad kul 1825 hogi . Ab is baat ka andaza lagayen ki is me ham ne kitni feesad % namazen ada ki hain . Aur isi se andaza ho jayega ki kitni chooti hain . Andaza lagane ke baad agar kuch zyada namaze shamil ho jayen to koi haraj nahi , Wo nafil me shumar hongi , Hisab karne ke baad behtar ye hai ki use kahin likh len .
Qaza namaz ko ada karne ka aasan tarika
(1) Pahla tarika ye hai ki har namaz ke saath kuch dinon ki namazen ada kar len . Misaal ke taur par Namaz e Zohar ada karne ke baad poore aik din ki namaz is tarah se ada kar len . Fajar ki 2 rakat , Zohar ki 4 rakat , Asar ki 4 rakat , Maghrib ki 3 rakat , Isha ki 4 rakat farz aur 3 rakat witr wajib . Is tarah se 1 waqt me 1 din ki aur 5 waqt me 5 din ki namazen ada ho jayengi .
(2) Dosara Tarika ye hai ki har namaz ke saath kai din ki namaze ada ki jayen , Jiase ki Zohar ki namaz ke saath 5 dino ki aur zohar ki namaz ada kar liya jaye . Isi tarah Asar , Maghrib , Isha Aur fajar ke saath bhi 5/5 waqt ki namaze ada kar le . Is Tarike se 1 saal me 5 salon ki namaz ada ho jayegi .
Phir jab bhi waqt mile to us me jald se jald baqi namaz ada karne ki koshish karna chahiye . Badi raaton me aksar log shab bedari karte hai , Unhen chahiye ki in raaton me apni chooti hui namaz ada karne ka khaas ehtimaam karen .
(3) Ya is tarah bhi kar sakte hain , Ki Zohar ki 2 nafil , Asar se pahle ki 4 sunnat , Maghrib ke baad ki 2 nafil , Isha se pahle ki 4 sunnat , Aur isha ke baad ki 4 nafil ki jagah chooti hui namazon ki utni rakaat ada kar len .
Qaza Namaz ki Niyat Kaise karen
Qaza namaz ki niyat is tarah se karen . Niyat ki main ne 2 rakat fajar ki farz ki jo mere zimme sab se pahle baaqi hai , Waste Allah ta’la ke munh mera kaaba shareef ki taraf . Phir Takbeer e Tahreema kahne ke baad baaqi namaz ada kare .
Qaza Namaz padhne ka time
Jin waqto me namaz padhna makrooh hai , Un waqto ko chod kar baqi kisi bhi waqt qaza namaz ada kar sakte hain . Behtar tarika wahioopar zikr hua ki har namaz ke saath kuch namaze ada kar li jayen .
Qaza Namaz me In Cheezo ki Choot Hai
Shariat Ne qaza e umri ki adaigi ke liye itni choot di hai . wo ye hain .
- 3 aur 4 rakat wali namaz me pahli 2 rakat me aur 2 rakat wali namaz ki dono rakaton me Surah fatiha ke saah ,Quran ki sab se choti soorat yani surah kausar padh liya jaye .
- Aur 4 rakat wali namaz ki aakhri dono rakato me sirf 3 baar Subhan allah kah kar ruku kar liya jaye .
- Ruku aur sajde me sirf 1 baar tasbeeh padhna kaafi hai .
- qada e akheera me agar chahen to sirf ( Allahumma salli ala muhammad wa aalihi ) padh kar salam pher den .
3 thoughts on “Qaza namaz ka tarika | qaza namaz ki niat aur rakat”