Asar ki namaz rakat
- Asar ke waqt me kul kitni rakat namaz hoti hai.?
Ans. Asar me kul 8 rakat namaz hai. Pahle 4 rakat namaz sunnat e gair moakkada phir 4 rakat namaz farz.
Asar ki Namaz ki niyat kaise karna chahiye ?
- Asar ki sunnat namaz ki niyat kis tarah karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz sunnat Allah tala ke liye, sunnat rasoolullah ki munh mera kaba shareef ki taraf Allahu akbar. - Asar ki farz namaz ki niyat kaise ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz e asar ki waste Allah tala ke ( Muqtadi itna aur kahe) peeche is imam ke munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar.
Asar ki 4 Rakat Sunnat Namaz ka tarika
Niyat bandhne ke baad sab se pahle Sana padhe . Phir Auzubillah aur bismillah ke baad Surah Fatiha ki tilawat kare . After that koi surat milaye jo achchi tarah yaad ho . Ya aisi koi aik Ayat padhen jo 3 choti ayaton ke barabar ho . Phir Allahu Akbar kahta hua Ruku me jaye Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhana Rabbiyal Azeem padhe . Samialllahu liman hamidah kahta hua khada ho jaye . Allahuakbar kahta hua Sajde me Jaye .
Sajde me Kam se kam 3 baar tasbeeh yani Subhan Rabbiyal aala padhe . Uske baad doosre sajde me Allahu akbar kahta hua jaye aur isme bhi 3 tasbeeh padhe .
Dono sajde complete karne ke baad 2sri rakat ke liye Allahu akbar kahta hua khada ho jaye . Surah fatiha ki tilawat ke baad soorat milaye . Phir pahli hi rakat ki tarah Ruku Aur Sajda kare . Do Rakat par Qaada kare .
Isi tarah 4 Rakat Namaz ada kare . Sunnat ki har rakat me Surah Fatiha ke baad surat milaye . 4 Rakat mukammal hone ke baad qaada kare . Usme Attahiyyat , Durood e Ibrahim aur Dua e masoora padh kar salam pher de .
Asar ki 4 Rakat Farz Namaz ka Tarika Hindi me
Niyat bandhne ke baad sab se pahle Sana padhe . Phir Auzubillah aur bismillah ke baad Surah Fatiha ki tilawat kare . Uske baad koi surat milaye jo achchi tarah yaad ho . Ya aisi koi aik Ayat padhen jo 3 choti ayaton ke barabar ho .
Phir Allahu Akbar kahta hua Ruku me jaye Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhana Rabbiyal Azeem padhe . Samialllahu liman hamidah kahta hua khada ho jaye . Allahuakbar kahta hua Sajde me Jaye .
Sajde me Kam se kam 3 baar tasbeeh yani Subhan Rabbiyal aala padhe . Uske baad doosre sajde me Allahu akbar kahta hua jaye aur isme bhi 3 tasbeeh padhe .
Doosari Rakat me Surah Fatiha ke baad soorat milaye . Aur pahli rakat ki tarah Ruku aur sajda kare . Do Rakat par Qada ke liye baith jaye . Attahiyyat padh kar Allahu Akbar kahta hua khada ho jaye . Teesari aur chauthi rakat me Sirf Surah fatiha padhe . Soorat nahi milana hai .
4 Rakat Complete hone ke baad qaada kare . Usme Attahiyyat , Durood e Ibrahim aur Dua e masoora padh kar salam pher de .
Note : Imam ke Peeche Muqtadi ko qirat nahi karna hai . Sana padhne ke baad khamoshi se khade Rahna hai . Niyat me bhi thoda farq rahega , Jab Imam ke peeche padhe to niyat me itna aur badha de Peeche Is Imam ke Muh mera kaaba Shareef ki taraf Allahu Akbar .
Asar ki Namaz ki fazilat
Beech wali Namaz ki Fazilat ke bare me Huzoor ne Irshad farmaya : Jis ne Asar chodi uske aamal batil ho gaye .
Isi Tarah Allah tala ne Quran me Asar ki fazilat ko bayan farmaya . Namazo ki pabandi karo specially Namaz e Asar ki pabandi karo .
Huzoor Irshad farmate hain . Jis ne Fajar aur Asar ki namaz ada ki wo jahnnam me dakhil nahi hoga .
Huzoor Irshad farmate hain . Har namaz doosre namaz ke beech ke gunahon ko dho deti hai .