Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ

Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ

Har Insan ki shadi ke baad ye khwahish hoti hai ki Allah nek aur saleh aulad ata farmaye . Uske liye ulamaye kiram ne bahut sari duayen batai hain . Agar hum un duauon ko sachche dil aur yaqeen ke saath karen , To insha Allah hamari dua qabool hogi . Aur Allah hamen nek aur saleh aulad bhi ata farmayega . 

         Hazrat Ibrahim alaihissalam ne apne mission ko jari rakhne ke liye , Allah ki bargah me saleh aur achche aulad ke liye jin alfaz se dua ki thi wo Qura’an me mojood hai . Aap ne dua ki thi Jis ke nateeje me aap ko aik haleem o burdbaar ladke ki  basharat mili . 

Aap ne ye dua ki thi . ( رب ھب لی من الصالحین )

Aye mere rab mujhe nek aur saleh aulad ata farma . Agar aap bhi ye dua karte hain to Insha Allah aap ko zaroor aulad hogi . 

Nek Bivi aur nek aulad ke liye dua

Allah ta’la ne apne nek bandon ke zikr me Qura’n muqaddasme farmaya ki wo log ye dua karte hain . 

ربنا ھب لنا من ازواجنا وذرییاتنا قرۃ اعین و اجعلنا للمتقین اماما

रब्बना हब लना मन अज्वाजिना व ज़ुर्र्यतिना कुर्रत अ’यूनी वजा’लना लिल मुत्तक़ीन इमामा 

( Surah furqan , Ayat number 74) 

Turjuma : Aye hamare Rab , Hamen hamari biviyon aur hamari aulad se aankhon ki thandak ata farma , Aur hame parhezgaron ka peshwa bana . 

Ye dua har namaz ke bad mangi jaye agar shadi nahi hui hai to Insha Allah nek bivi milegi . Agar shadi ho chuki hai to Allah ki bargah me niyat kar ke dua kare ki Allah nek aur saleh aulad ata farmaye . Insha Allah Quran ki is aayat ki barkat se behtar aulad ata hogi . 

Dua ki qubooliyat ke liye Dua

               Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Khana ka’ba ki tameer ke waqt Allah ta’ala ki bargah me apne us amal ki qubooliyat ke liye ye dua farmai thi . Jise Qura’n me bhi bayan kiya gaya hai . 

ربنا تقبل منا انک انر السمیع العلیم 

रब्बना त्क़ब्बल मिन्ना इनका अंतस समीउल अलीम 

Tarjuma : Aye hamare rab ham se qubool farma , Beshak tu hi sunta janta hai . 

( Surah baqra , Ayat 127 )


आयतुल कुर्सी की फ़ज़ीलत | Aayatul kursi ki fazilat

सूरह बकरा की फ़ज़ीलत | सूरह बकरा से शैतान घर से दूर रहेगा 

Sote aur uthte waqt ki dua jo bahut fayde mand hain

3 thoughts on “Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ”

Leave a Reply