Namaz ki sharten | Namaz ki sharten | In bina namaz shuru nahi hoti

Namaz ke Sharait | Namaz ki sharten

Namaz ki 6 Sharait hain ki agar inme se aik bhi na pai jaye to namaz nahi qayam na hogi.
Ye aise faraiz hain jo Namaz ke bahar hone ki wajah se namaz ke bahar ke faraiz hain jin ko sharait namaz ki hasiyat di gai hai.
In Tamam sharait ka namaz se pahle hona lazim aur zaroori hai.
Namaz ke 6 Sharten…
1) Taharat
2) Satr e aurat
3) Istiqbal e qibla
4) Waqt
5) Niyat
6) Takbeer e Tahreema
In sharton me se agar aik shart bhi na pai gai to namaz na hogi.

Namaz ki pahli shart _Taharat

Namazi ka badan uska kapda, namaz ki jagah ka paak hona zaroori hai. Agar in me se koi aik bhi napak raha to namaz na hogi. 

Namaz padhne wale ke aik pair ke neeche dirham ki miqdaar se zyada nijasat hai to namaz nahi hogi . Isi tarah dono pair ke neeche thodi thodi nijasat hai jis ko jama karne se 1 dirham ki miqdaar ho jaye to namaz nahi hogi . 

Peshani ki jagah paak hai aur naak najis jagah par hai to namaz ho jayegi , kynki nak dirham ki miqdaar se kam jagah par lagti hai . Lekin bagair zaroorat aur majboori ke ye bhi makrooh hai .

 

Namaz ki doosri Shart _ Shatr e Aurat

 Hadees  : Imam tirmizi ne hazrat Abdullah bin abbas radiallahu anhu se riwayat ki Huzoor sallahu alaihi wasallam irshad farmate hain ki : Aurat aurat hai yani chupane ki cheez hai . jab nikalti hai tab shaitan uski taraf jhankta hai . 
        Mard ko naaf se ghutno tak chupana farz hai. Aur aurat ko siwaye chehra hatheli aur qadam ke poora badan chupana zaroori hai. Chahe namaz ke andar ho ya namaz ke bahar.
         Aurat agar itna bareek kapda ya dupatta pahne jis se badan chamkta ho, Satar ke liye kaafi nahi hai us se agar namaz padhi to namaz na hogi.
          Aurat ka chehra agarche aurat nahi lekin gair mahram ke samne chehra kholna mana hai aur uske chehre ki taraf nazar karna aur dekhna gair mahram ke liye jaiz nahi.


Namaz ki teesri shart : Istiqbal e Qibla Yani Qibla ki taraf munh karna hai

Istiqbal e qibla yani namaz me qibla ki taraf munh karna hai. Kaaba ki taraf munh hone ka mana ye hai ki chehre ka koi hissa qibla ki taraf ho.
Agar namazi ka chehra kaaba ki taraf se thoda hata hua hai. Lekin uske chehre ka koi hissa kaaba ki taraf hai to namaz ho jayegi. Aur uski miqdar 45 digree rakhi gai hai. Agar 45 se ziyada munh phira hua hai to namaz na hogi.
Agar aisi jagah par ho jahan qibla pata chalta ho aur koi batane wala bhi na ho to jis taraf uska dil jame gaur o fikr kar ke namaz padhle. Namaz ho jayegi.

Namaz ki Chaouthi Shart : Waqt

Jis waqt ki namaz padhi jaye us namaz ka waqt hona zaroori hai.
Fajar ka waqt Subh e sadiq se sooraj niklne tak hai.
Zohar ka waqt Dopahar ko sooraj ke aadhe din se dhalne se shuru hota hai. Aur us waqt tak rahta hai ki har cheez ka saaya uske asli saye se dubble ho jaye.
Asar ka waqt, Zohar ka waqt khatam hone par shuru hota hai aur sooraj doobne tak rahta hai.

Maghrib ka waqt, Sooraj doobne hone se shafaq jo aasaman me laali hoti hai uske gayab hone tak rahta hai.
Isha ka waqt, Shafaq ke gaib hone se subh e sadiq tak rahta hai.

Namaz ki panchivin shart _ Niyat |Namaz ki sharten

Namaz padhne ki niyat honi chahiye. Niyat dil ke irade ko kahte hain. Agar aap ne dil me irada kar liya to kaafi hai. Zaban se kahna zaroori nahi lekin mustahab hai ki dil zaban se kah le.
Har namaz ki niyat ke liye link par click karen.
Namaz Ki Niyat

Namaz ki chatti shart _ Takbeer e tahreema hai | Namaz ki sharten


Yani Allah akbar kah kar namaz shuru karna.
Namaz e janaza me takbeer e tahreema rukn hai baqi namazon me shart hai. 

Mazeed Janna hai to Question kar sakte hain . 


how to perform saltul hajat / salatul hajat kaise padhe

Namaz ki rakat aur niyat / kis namaz me kitni rakat

Leave a Reply