Namaz ki rakat aur niyat kaise kare
Namaz Allah tala ki taraf se ham bando par farz hai. Aur 5 waqt ki namaz ham sab bando ko padhna chahiye. Aaj ham janenge ki kis namaz me kitni rakat hoti hai. Aur namaz ki niyat kaise karte hain.
1) Fajar ke waqt kitni rakat namaz padhi jati hai?
Ans. Fajar ke waqt kul 4 rakat padhi jati hai pahle 2 rakat sunnat e moakkada phir 2 rakat namaz farz
- 2 Rakat sunnat ki niyat kaise karte hain.
Ans. Niyat ki maine 2 rakat namaz sunnat fajar ki Allah tala ke liye sunnat rasoolullah ki munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar.
2 Rakat fajar farz ki niyat kis tarah se karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne do 2 rakat fajar farz ki waste Allah tala ke (Muqtadi Itna aur kahega) peeche is Iman ke munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akabar.
Note. Aik baat aur yaad rakhen niyat dil ke irade ko kahte hain. Zaban se niyat ke alfaz kahna zaroori nahi hai. Lekin zaban se niyat kar lena ye behtar hai.
Zohar ke waqt kul kitni rakat namaz padhi jati hai?
Ans. Zohar ke waqt kul 12 rakat namaz padhi jati hai. Sab Se pahle 4 rakat namaz sunnat e moakkada. Phir 4 rakat namaz farz. Phir 2 rakat Sunnat e moakkada aur phir 2 rakat nafil.
- Zohar ke 4 rakat sunnat ki niyat kis tarah karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne chaar rakat namaz sunnat Allah tala ke liye sunnat Rasoolul Allah ke munh mera kaba sgareef ki taraf Allahu Akbar.
Zohar ki 4 rakat farz ki niyat kis tarah ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz zohar ki waste Allah tala ke ( Muqtadi itna aur kahe) peeche is Imam ke muh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar.
- Zohar ki 2 rakat sunnat namaz ki niyat kis tarah ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne do rakat namaz sunnat zohar ki sunnat rasoolullah ki waste Allah tala ke muh mera kaba shareef ki taraf Allahu akbar.
Zohar ki do rakat nafil namaz ki niyat kis tarah ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne 2 rakat namaz nafil zohar ki waste Allah tala ke munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu akbar.
-
Asar ke waqt me kul kitni rakat namaz hoti hai.
Ans. Asar me kul 8 rakat namaz hai. Pahle 4 rakat namaz sunnat e gair moakkada phir 4 rakat namaz farz.
- Asar ki sunnat namaz ki niyat kis tarah karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz sunnat Allah tala ke liye, sunnat rasoolullah ki munh mera kaba shareef ki taraf Allahu akbar. - Asar ki farz namaz ki niyat kaise ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz asar ki waste Allah tala ke ( Muqtadi itna aur kahe) peeche is imam ke munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar.
-
Magrib ke waqt kul kitni rakat namaz padhi jati hai?
Ans. Magrib me kul 7 rakat namaz hoti hai. Sab Se pahle 3 farz, phir 2 rakat sunnat phir do rakat nafil.
- Magrib ki farz namaz ki niyat kis tarah karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne teen rakat namaz farz magrib ki waste Allah tala ke ( Muqtadi itna aur kahe) peeche is iamam ke muh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akabr. - Magrib ki do rakat sunnat namaz ki niyat ka kya tarika hai?
Ans. Niyat ki main ne 2 rakat namaz sunnat, waste Allah tala ke sunnat rasoolullah ki munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar. - Magrib ki nafil namaz ki niyat kaise ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne do rakat namaz nafil waqt magrib waste Allah tala ke muh mera kabaa shareef ki taraf Allahu Akabr.
-
Isha ke waqt kul kitni rakat namaz padhi jati hai?
Ans. Isha me kul 17 rakat namaz padhi jati hai. Pahle 4 rakat sunnat, phir char rakat farz, phir 2 rakat sunnat, phir 2 rakat nafil, phir 3 rakat namaz witr wajib, phir 2 rakat namaz nafil…
- Isha ki 4 Rakat sunnat namaz ki niyat kaise karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz sunnat, waste Allah tala ke sunnat Rasoolullah ki, munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar. - Isha ki 4 rakat farz namaz ki niyat kis tarah karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne 4 rakat namaz farz isha ki waste Allah tala ke ( Muqtadi Itna aur kahe) peeche is Imam ke munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akabr. - Isha ki do rakat sunnat namaz ki niyat kis tarah karna chahiye?
Ans. Niyat ki main ne 2 rakat namaz sunnat isha ki waste Allah tala ke, Sunnat Rasoolullah ki munh mera kaaba shareef ki taraf Allahu Akabr.
- Isha ki 2 rakat nafil namaz ki niyat kis tarah ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne 2 rakat namaz nafil waste Allah tala ke munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar. - Isha ki 3 rakat witr wajib ki niyat kaise ki jayegi?
Ans. Niyat ki main ne teen rakat namaz witr wajib waste Allah tala ke munh mera kabaa shareef ki taraf Allahu Akabr. - Isha ki 2 rakat nafil namaz ki niyat kis tarah ki jati hai?
Ans. Niyat ki main ne 2 rakat namaz nafil waste Allah tala ke munh mera kaba shareef ki taraf Allahu Akbar .
4 thoughts on “Namaz ki rakat aur niyat / kis namaz me kitni rakat”