Momin aur kafir ki rooh kaise nikali jati hai | momin aur kafir ki maut me farq
Aaj ham baat karenge ki momin aur kafir ki rooh kaise nikal jati hai . Allah ka Irshad hai ” har nafs ko maut ka maza chakhna hai . lekin momin aur kafir ke maut me farq hota hai . momin ki rooh nikalne me takleef bahut kam hoti hai . lekin jab kafir ki rooh nikali jati hai to usko bahut zyada takleef hoti hai .
Aallah ta’la Quran majeed me irshad farmata hai : Beshak wo jinhon ne kaha hamara rab Allah hai . phir uspar qayam rahe un par maut ke waqt farishte utrte hain . jo un bandon se kahte hain ki tum na daro , na gam karo . Aur khush raho us jannat par jis ka tumhen wa’da diya jata hai .Ham tumhare dost hain duniya ki zindagi me aur aakhirat ki zindagi me . Aur tumhare liye jannat me wo hai jo tumhara ji chahe . aur tumhare liye us me wo cheez hai jo mango Allah tabarak wa ta’ala ki taraf se .
( Hameem Sajda , Ayat 32 ,33 )
Is Ayat ka matlab Hadees Ki Roshani Me
Is aayat ki tashreeh hamen hadees me is tarah milti hai ki Huzoor ﷺ ne irshad farmaya : Malakul maut jab kisi nek aur saleh bande ki rooh qabz karne ke liye tashreef late hain . To Is shan ke saath aate hain ki unke saath haseen aur khoobsoorat chehre wale farishton ki aik muqaddas jamat hoti . Ye farishte jannati kafan aur jannati khushboo lekar aate hain . Aur hazrat Malakul maut apni naram aur meethe lehje me Is tarah irshad farmate hain ki :
اخرجی اییتھا النفس الطیبۃ کانت فی الجسد الطیب اخرجی حمیدۃ وابشری بروھ و ریحان و رب غیر غضبان
Yaani nikal jaa aye paak jaan . jo paak badanme thi . Nikal to qabil e tareef hai . Aur to raahat aur khushboo aur us rab ki basharat hasil kar jo tujh se kabhi naraz nahi hoga .
Phir farishton ki jamat us rooh ko jannati kafan me lekar aasmanon ki taraf jati hai . Aur uske liye aasmanon ke darwaze khol diye jate hain , Phir aasmani farishton ki jamat ye kah kar us paak rooh ka istiqbal karti hai , Ki : Khush Aamdeed ” aye paak jaan , Jo paak badan me thi . Jannat me dakhil hoja , To qabil e tareef hai . Tujh ko rahat o khusboo aur us rab ke deedar ki basharat di jati hai jo tujh par kabhi naraz nahi hoga . Phir farishton ke us Naaara Ke saath ye mubarak rooh darbar e Ilahi tak pahunch jati hai .
Kafir ki rooh kaise nikalti hai ?
Kafir ki rooh kaise nikali jati hai iske bare me Allah ta’ala irshad farmata hai :
ولو تری اذالظالمون فی غمرات الموت والملئکۃ باسطوآ ایدیھم ، اخرجوآ انفسکم الیوم تجزون عذاب الھون بما کنتم تقولون علی اللہ غیر الحق و کنتم عن آیاتہ تستکبرون ۰
Aur kabhi tum dekho jis waqt zalim maut ki sakhtiyon me aur farishte haath failaye hue hain ki nikalo apni janen , Aaj tumhen zillat ka azab diya jayega . badla is baat ka ki Allah par jhoot jhoot lagate the aur uski aayaton se takabbur karte the .
( Soorah An’aam , Ayat 92 )
Hadees Shareef me is bare me riwayaten milti hain . Huzoor Irshad farmate hain : Malakul maut jab kisi bure insan ki rooh nikalne ke liye aate hain to unke saath kale kale chehro wale , darawani shakal wale , Azab ke farishton ki aik jamat hoti hai . jin ke saath aik taat ( chatai ) hoti hai aur malakul maut us badkaar insan ke sar ke pas baith kar mihayat sakht lehje me kahte hain : Nikal aye khabees jaan , jo khabees badan me rahti thi , tu mazammat ke laay hai aur tujh ko garam garam pani aur jahannamiyon ke peep aur isi tarah ke qism qism ke azab ki saza hona hai .
Phir azab ke farishte us rooh ko jab jahannami taat me lapet kar aasmanon ki taraf jate hain , To us ke liye aasmanon ke darwaze nahi khole jate . Aur aasmanon ke farishte us rooh ko ye kah kar dhutkarte hain , ki aye khabees badan me rahne wali khabees jaan ham tere liye khush aamdeed nahi kahte . tu wapas laut ja , tu yahan rahne ke qabil nahi . Isliye tere liye aasmanon ke darwaze nahi khole jayenge . Lihaza tu is qabil nahi ki darbar e ilahi tak teri pahunch ho sake .
( Mishkat Shareef )
Mere pyare bhaiyo isliye aap socho ki jab banda nek ho aur nekiyan karna uski aadat ho to Allah ka us par khusoosi karam hota hai , Jis ki wajah se us par maut ke waqt aasaniyan hoti hain . Farishte uska istiqbal karte hain . Aasmano me use mubarakbadiyan di jati hain .
Lekin banda agar gunahgar ho to zindagi me bhi museebate , aur maut ke waqt bhi farishton ki darawni shakl aur maut ke baad qabr ke azab me mubtala kiya jayega .
Lihaza ham sab ko chahiye ki nek kaam zyada se zyada kare . Apne faraiz ko un ke auqat par ada karna chahiye . taki maut ke waqt bhi ham par aasaniyan hon aur azab e qabr se ham mahfooz rah sakenge .
2 thoughts on “Momin aur kafir ki rooh kaise nikali jati hai | momin aur kafir ki maut me farq”