Maut ke Mutalliq aqeeda | Maut ke bare me aqeeda
Maut ka aana haq hai . Har shakhsh ki umar muqarrar hai , Na us se ghat sakti hai aur na badh sakti hai . Jab zindagi ka waqt poora ho jata hai to Hazrat Izrail aate hain aur bande ki rooh nikal kar le jate hain . Lekin rooh badan se nikal kar mitti nahi hai . Balki aalame barzakh me rahti hain . Iman o amal ke eitibaar se rooh ke liye alag alag jagah muqarrar hai , Qayamat aane tak wahin rahegi . Bahar haal rooh mitti nahi hai aur jis haal me bhi ho apne badan se aik tarah ka lagaw rakhti hai . Badan ki takleef se rooh ko bhi takleef hoti hai . Aur badan ke aaram se rooh bhi aaram pati hai .
Aur maut ke baad agar koi qabr par aaye , Use dekhti , pahchanti aur uski baat sunti hai . Musalman ki nisbat se to hadees shareef me aaya hai ki , Jab musalmaan mar jata hai to uski raah khol di jati hai . Jahan chae apni marzi se aana jana kar sakti hai . Hazrat Shah Abdul aziz mohaddis dahlavi rahmatullahi alaih farmate hain : ki Rooh ke liye koi jagah , Door ya nazdeek nahi balki sab barabar hain .
Maut ke baad murde se sawal o jawab | Maut ke Mutalliq aqeeda
Jab Insan is duniya se chala jata hai to Allah tala ne qabar me jane ke baad jo cheeze rakhi hain , Yani murde se sawal o jawab aur uske jaza saza wagairah . Uske liye Munkar Nakeer ye do farishte hain . Jo murda se badi kadak aawaz me sakhti se jhidakte hue 3 sawalat karte hain .
- Man Rabbuk . Tera Rab kon hai .
- Ma deenuk . Tera deen kya hai .
- Ma kunt taqoolu fi shani hazar rajul . In ke bare me to kya kaha karta tha .
Murda agar musalman mara hai to pahle sawal ka jawab is tarah dega . ( Rabbiya Allah ) Yani mera rab Allah hai . Doosare sawal ke jawab me kahega . ( Deeniyal Islam ) yani mera deen Islam hai . Aur teesare sawal ke jawab me kahega . ( Huwa Rasoolullahi sallahu alaihi wasallam ) Ye Allah ke Rasool hain . Allah tala ki taraf se in par rahmat aur salam nazil ho . Jab momin murda har sawal ka sahi jawab de dega to ab uske liye farishte hukm e ilahi se Jannat ka mukammal ka intizam karenge jis me wo qayamat tak rahega . Aur agar murda kaafir hai to sawalat ke jawabat na de sakega aur kahega "” Ha ha la adri ” Yani afsos to mujhe kuch maloom nahi . Ab farishte uske liye azab dene par musallat honge aur qayamat tak use diya jata rahega .
Kuch Aqaaid
Sawab p azab murda ke badan aur roh dono par hoga . Murda agar dafan nahi kiya gaya balki jala diya gaya , Ya kahin pada rah gaya . Ya phenk diya , Agarche kahin bhi ho us se wahin par sawal kiya jayega . Aur azab ya sawab bhi wahin hoga .
Aqeeda : Qabar me aaram ya takleef ka hona haq hai . Qabar ke azab aur sawab ka munkir gumrah hai .
Aqeeda : Anbiya e kiraam se qabar ke sawalaat nahi hote , balki kuch ummatiyon se bhi qabar ke sawal na honge . jaise ki jumma aur Ramzan me intiqaal karne wale Muslman .
Aqeeda : Nabi , Wali < Aalim e deen . Shaheed , Hafiz e Quran jo quran par amal bhi karta ho . Aur wo banda jis ne kabhi gunaah na kiya ho , Aur wo banda jo har waqt Durood shareef padhta ho , Un tamam ke badan ko mitti nahi khaa sakti . Jo shakhsh anbiya e kiram ko ye kahe , ( mar kar mitti me mil gaye hain ) wo shakhsh be deen , Gumraah aur taheen ka murtakib hai .
Qayamat aane ka haal aur uski nishaniyan | Qayamat ki nishaniyan
Aqeeda : aik din duniya aur uski har cheez fana ho jayegi . Allah tala ke siwa kuch baqi na rahega , Usi ko qayamat kahte hain . Qayamat aane se pahle uski nishaniya zahir hongi . Jin me se kuch is tarah hain .
- Duniya se Ilm e deen uth jayega yaani ulama e haq utha liye jayenge .
- Jihalat ki kasrat hogi .
- Sharab aur zina ki kasrat hogi .
- Deen par qayam rahna itna kathin aur mushkil hoga jaise mutthi me angaar lena .
- Waqt me barkat na hogi yani waqt bahut jald jald guzar jayega .
- Darinde , Jnwar aadmi se baat karenge .
- Sooraj pachchim se niklega , Aur is nishani ke zahir hote hi Taba a darwaza band ho jayega . Us waqt Islaam lana qubool na hoga. .
Allahu Akbar In nishaniyon ke alawa aur bhut sari nishaniyan hain . Bada dajjal bhi aayega aur us dajjal ke alawa 30 dajjal aur bhi honge , Jo sab Nabi hone ka daawa karnge , Halanki nubuwaat ka silsila khatam ho chuka hai . Hamre Nabi Sayyidina Mohammmad sallahu alaihi wasallam ke baad koi qayamat tak koi Nabi nahi ho sakta . Un dajjalon me bahut se guzar chuke jaise , Musailama kazaab , Tulaiha bin khuwaild , Sajaah , Aswad ansa , Mirza ali mohammad baab , Mirza ali husain bahaullah , Mirza gulam ahmad qadiyani wagairah , Aur jo baqi hain wo zaroor zahir honge .
Aqaaib ke mutalliq aasan sawal o jawab
1 thought on “Maut ke Mutalliq aqeeda | Maut ke bare me aqeeda”