Masnoon duayen / Huzoor ki batai hui duayen
Rasoolullah ﷺ ne mukhtalif auqat me jo duayen mangi aur ummat ko taleem di hai . Wo nihayat hi ba barkat hain . Maslan need se bedar hokar padhne ki dua . Bitul khala me jane ki dua , wahan se bahar niklne ki dua . wazu karte waqt , Masjid me dakhil hote waqt , wahan se niklte waqt . Ghar me dakhil hote aur niklte waqt ki dua . Khana khane se pahle aur baad ki dua . Azan ke baad , kapde pahnte waqt , Aaina dekhte waqt , Bistar par pahunch kar sone se pahle aur uthne ki dua . Aur isi tarah khaas mauqon par jo duayen sikhai gai hain . Ya iske alawa jo doosri aam duaye jo ahadees me manqool hain . Jo kisi waqt aur halat ke saath khas nahi hain . Wo sabduayen bahut aham hain . Ye duayen itni aham hai ki agar ham sari umr sochte rahen , Tab bhi aisi duayen khud se nahi mang sakte . Yahi wajah thi ki Sahaba Arabic me mahir hone ke bawjood , Huzoor ﷺ ki bargah me hazir hote aur duayen seekhte . Hazrat abu bakar sidique ؓ ne Huzoor ﷺ se darkhwast ki : Ya Rasoolallah ﷺ Mujhe dua ke aise kalimat sikhaiye , Jin ko main subh o shaam padh liya karun . App ﷺ ne farmaya : Allahumma ! Faatiras Samawati wal arzi , Aalimal ghaibi wash- Shahadati , Rabba kulli shai-in wa maleekahu, Ashadu an la-ilaha illa anta a'oozubik min sharri nafsi , Wa sharrish shaitani wa shirkihi . Aur farmaya : Jab tum subah karo , Jab shaam karo , Aur jab sone ke liye bistar par leto , To In kalimaat ko kah liya karo . [ Abu Daud 5067 ] Ham logo ko bhi aisi duayen yaad kar lena chahiye aur padhte rahna chahiye .
Subah ke waqt ye Dua padhe
Asbahna Wa asbahal mulku lillahi rabbil aalameen . اصبحنا و اصبح الملک للہ رب العالمین Tarjama . Ham ne aur mulk ne allah ke liye subah ki . Allahumma inni asaluk khair hazal yaoum wa fathahu wa nasrahu wa noorahu wa barakathu . Wa hudahu wa a'uzu bik min sharri ma feehi wa sharri ma ba-dahu . اللھم انی اسئلک خیر ھذا الیوم و فتحہ و نصرہ و نورہ و برکتہ و ھداہ و اعوذبک من شر ما فیہ و شر ما بعدہ ۔
Khana khane se pahle ki dua
Khana shuru karne se pahle ye dua padhe . Bismillahi wa ala barkatilllah . بسم اللہ و علی برکۃ اللہ ۔
Khana khane ke baad ki dua / masnoon duayen Alhamdu lillahil lazi At'amana wa saqana wa ja'alana minal muslimeen . Sab tareef Allah ke liye hai jis ne hame khilaya aur pilaya aur musalman banaya .
Masjid me aane ki dua / masnoon duayen
Allahummaf tahli abwaba rahmatika . Aye Allah tu mere liye rahmat ke darwaze khol de .
Masjid se bahar niklne ki dua / masnoon duayen
Allahumma inni Asa’luk min fazlik wa rahmatika . Aye Allah main tujh se tere fazl ka sawal karta hun .
Ghar se niklte waqt ki dua / masnoon duayen
Bismillahi Tawakkaltu alalllah la haula wala quwwata illa billah . Allah ke naam se ghar se niklta hun. Main ne Allah par bharosa kiya . Allah ke bagair na taqat hai aur na quwwat .
Safar ki dua / masnoon duayen
Subhanl lazi sakhkhara lana haaza wama kunna lahu muqrineen . wa in na ila rabbina L-munqaliboon . Allah pak hai jis ne is sawari ko hamare qabze me diya . Aur uski qudrat ke bagair ham use qabza karne wale na the . Aur bila shuba apne rab ki taraf ham ko jana hai .
Sehri ki dua / masnoon duayen
Wa bi saumi gadin nawaitu min shahri ramzan . Main Ramzan ke kal ke roze ki niyat karta hun . Ya karti hun .
Aftar ki dua
Allahumma inni laka sumtu wa bika aamantu wa- alaika tawakkaltu wa-ala rizqika aftartu . Aye mere Allah main ne roza rakha tere liye aur iman laya tujh par , bharosa kiya tujh par aur iftar kiya tere rizq par .
Toilet me jane se pahle ki dua
Allahumma inni a’uzu bika minal khubsi wal khabas . Aye main teri panah chahta hun khabees jino se mard ho ya aurat .
Toilet se niklne ki dua
Alhamdu lillahil lazi azhaba annil aza wa aafani . Tamam tareefe Allah ke liye hain jis ne mujh se takleef dene wali cheez ko door kiya .
Gussa aane ke waqt ki dua .
A’uzu billahi minash shaitanir rajeem . Allah ki panah shaitan mardood se .
Ilm me izafe ki dua
Rabbi zidni ilma . Aye Allah mere ilm me izafa farma .
Aulad ki dua / Aulad ke husool ki dua
Rabbi la tazar fardo wa-ant khairul wariseen . Aye mere rab mujhe akela na chod aur tu sab se behtar waris hai .
Read more,,,,,,
mdazharrazarizvi98@gmail.com