Mahe Ramzan ki khusoosiyat by masail world

Mahe Ramzan ki khusoosiyat | माहे रमजान की ख़ुसूसियात 

                     Mahe Ramazan ko doosre tamam maheeno par fazilat hasil hai. Doosre maheeno par mahe ramzanul mubarak ki fazilat chand eitebar se hai .

Mahe Ramzan ki 19 Khusoosiyat | माहे रमजान की १९ खुसूसियात 


1] Quran me to ye baat Mojood hai ki maheeno ki tadad 12 hai aur ye bhi hai ki un me se 4 hurmat wale hain . Lekin wo hurmat o izzat wale maheene kon hain iska zikr nahi kiya gaya . Aur mahe Ramzan ka Naam quran me sarahat ke saath Mojood hai . baqi kisi bhi maheene ka naam sarahat ke saath Quran me nahi aaya, jaisa ki Allah tala irshad farmata hai .


شھر رمضان الذی انزل فیہ القرآن

Ramzan ka maheena hai jis me quran nazil hua

2)Mahe Ramzan me Quran Nazil hua .


3) Mahe Ramzan me shabe qadr hai jis me qyam karna, shab bedari karna aur ibadat karna hazar maheeno se zyada behtar hai .


4)Har maheene me ibadat ke liye waqt muqarrar hai lekin is maheene me rozedar kaa har lamha ibadat me shumar hota hai .


5) Is Mahenne me nekiyon ka sawab 10 guna se 100 guna tak badha diya jata hai .


6)Nafil ka sawab farz ke barabr aur farz ka sawab 70 farz ke barabar ho jata hai .


7) Allah tala mahe Ramzan me apne bando par khusoosi tawajjah farmata hai .


8) Mahe Ramzan me Jannat ke darwaze khol diye jate hain .


9) Jahannam ke darwaze band kar diye jate hain .


10) Aasman ke darwaze band kar diye jate hain aur bandon ki jaiz duayen bab e ijabat tak bilkul aasani ke saath pahunch jati hain .


11) Hazrat Ibrahim alaohissalam ke saheefe mahe ramzan ki aik tareekh ko nazil hue .


12) Tauret Shareef isi maheene ki 6 tareekh ko nazil hui .


13) Injeel shareef isi maheene ki 13 tareekh ko nazil hui .


14) Quran Paak isi maheene ki 24 tareekh ko nazil hua .


15) Khatoon e jannat hazrat Fatima zahara ka wisal isi mah ki 3 tareekh ko hua .


16) Ummul momineen hazrat Aaisha siddiqa Ka wisal isi mah ki 17 tareekh ko hua .


17) Jange badr isi maheene ki 17 tareekh ko hui .


18) Fath e Makka isi maheene ki 20 tareekh ko hui .


19) Hazrat Ali radiallahu anhu ki Shahadat isi maheene ki 21 tareekh ko hui .

 

Mahe Ramzan ki barkat | माहे रमजान की बरकतें 

     Ramzanul mubarak azmat o barkat wala maheena hai . Allah tala irshad farmata hai . Aye Iman walo tum par roze farz kiye gaye jaisa ki tum se pahle ke logon par farz tha , Taki tumhen parhezgaari hasil ho . 

         Roza Insaan ke andar mojood nafsaani khwahishat ko kamzor kar deta hai . Aur roza daar ke dil me ye aqeeda rasikh ho jata hai , Ki Allah meri tamam cheezon ko dekh raha hai . Ye aisa taswwr hai ki roze ki halat ke alawa me ye taswwr nahi rahta ki Allah use dekh raha hai . 

Roza kab farz hua | रोजा कब फ़र्ज़ हुआ 

Mere pyare Islami Bhaiyo aur bahno , Roza Elaan e Nubawwat ke pandarahvi saal yaani 10 shawwal 2 hijri me farz hua . 

Allah ta’la ka farman hai :

 یا ایھا الذین آمنوا کتب علیکم الصیام کما کتب علی الذین من قبلکم لعلکم تتقون 

Aye Iman walo tum par roze farz kiye gaye jaisa ki tum se pahle ke logon par farz tha , Taki tumhen parhezgaari hasil ho . 

Allah ta’la ne is aayat me 2 baton khaas taur par zikr farmaya hai . Pahli ye ki , Ye Ibadat sirf tumhi par farz nahi ki ja rahi hai , Balki tum se pahle ke logo par bhi farz ho chuki hai .

Tafseer e kabeer aur tafseer e ahmadi me hai , Hazrat Aadam se lekar Hazrat eesa alaihissalam tak har ummat par roze farz rahe . Hazrat Aadam alahissalam par har qamri maheene ki terahvi , chaudahvi aur pandarahvin tareekh ke roze farz rahe . Hazrat Moosa alaihissalam ki qaum par Aasoora ka roza farz raha . Kuch Riwayaat me hai ki sab se pahle Hazrat e Nooh alaihissalam ne Roze rakhe . 

        Doosari baat ye hai ki roze tum par isliye farz kiye gaye taki tum parhezgaar aur muttaqi ban jao , Ki shariat ke tamam ahkaam ka maqsad momineen ko mutaaqi banana hai . Isi liye Quran e kareem baar baar taqwa ikhtiyar karne aur muttaqi banne ka hukm ata farmata hai . 

Roze ka Ina’aam | रोज़े का इनाम 

Bukhari aur muslim ki riwayat me hai ki Huzoor alaihissalam ne irshad farmaya : Ibne aadam ka har amal 10 gunaa se 700 guna tak kar diya jata hai . Allah ne irshad farmaya : magar rozedaar apni khwahishaat aur khane ko sirf mere liye tark karta hai . 

Rozedaar ke liye 2 khushiyan hasil hoti hain , aik khushi use aftar ke waqt hoti hai ,Aur doosari apne rab se mulaqat ke waqt hasil hogi . Roze daar ke munh ki boo Allah tala ko mushk se zyada pasand hai aur roza dhaal hai . Jab tum me se koi roza rakhe to na to fahesh baat kahe aur na shor kare . Aur agar use koi gaali de to use chahiye ki gaali dene wale se kah de main roza daar hun .  

( Bukhari wa Muslim ) 

Allah Irshad farmata hai : Roza mere liye hai aur main hi uska badla deta hum , Ya main hi uska badla hun . 

Is Jumle ka maqsad ye hai ki wahi ibadat maqbool hai jis me riya aur dikhawa na ho . Tamam Ibadaten apna aik zahiri haal rakhti hain . Namaz padhne wale ko aap namazi kah sakte hain . Haj karne wale ko haji kah sakte hain . Isi tarah jihaad karne wale ko mujahid kahte hain , Lekin roze ka koi zaahiri haal nahi . Lihaaza ye posheeda ibadat sirf Allah tala ke liye hogi . Roze ka sawab isiliye muqarrar nahi hai . Ye rab ke karam par munhasir hai ki Rab usko kya ata farmata hai . 

Roze se pichle Gunah bakhsh diye jate hain | रोज़े से गुनाहों की माफ़ी 

Hazrat Abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah sallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya : Jo shakhsh iman ke saath sawab ki ummed se roza rakhega to uske agle gunaah bakhsh diye jayenge . Aur jo iman ke saath sawab ki niyat se Ramzan ki raaton me qayaam karega yaani taraweeh padhega to uske agle gunaah bakhsh diye jayenge . Aur jo Iman ke saath sawab ki niyat se Shab e qadr me qayam karega uske agle gunaah bakhsh diye jaynge . 

( Muslim shareef ) 


kin cheezo se roza toot jata hai by masail world

Quran ki tilawat ki fazilat / quran ki fazilat

 

Leave a Reply