Kin Cheezo se Roza Nahi Tootta
Mas’ala. Bhool kar khaya piya, jima kiya roza nahi toota chahe roza farz ho ya nafl .
Mas’ala. Makkhi, dhuwan, gubar halaq me jane se roza nahi tootega chahe wo gubar aate hi ka kyn na ho jo chakki peesne se udta hai . han agar jaan boojh kar khud se dalega to roza toot jayega .
Mas’ala. Tail ya surma lagane se roza nahi tootta , chahe tail ya surme ka maza halaq me mahsoos hota ho , balki thook me surme ka rang bhi dikhai deta ho tab bhi roza nahi toote ga .
Mas’ala. Ehtilam hojane ya hambistari karne ke baad gusl na kiya aur usi halat me poora din guzar diya to wo namazo ke chodne ki wajah se sakht gunahgaar hoga lekin roza ada ho jayega .
Mas’ala. Injection lagwane se roza nahi tootta chahe rag me lagaya jaye ya gosht me usse roza nahi tootta..
Mas’ala. Khoon niklwane ya kahin Zakhm ho jane se roza nahi tootta, ha roza ki halat me khoon nahi niklwana chahiye isliye ki roza ki halat me aisa kaam karna makrooh hai jis se kamzori aaye. Rag ke zariye khoon chadhane se bhi rozza nahi toote ga.
Masa’la. Manjan karna roza ki halat me makrooh hai balki uska koi zarra halaq se neeche chala gaya to roza toot jayega .
Mas’ala. Bosa liya magar inzal nahi hua to roza nahi tootega.
Masa’la. Aurat ki taraf balki uski sharamgah ki taraf nazar ki magar haath na lagaya aur mani nikl gai ya baar baar hambistari ke khayal se mani nikl gai to roza nahi toota.
Masa’la. Til ya til ke bararbar koi cheez chabai aur thook ke saath halaq se utar gai to roza na toota magar us cheez ka maza halaq me mahsoos hota ho to roza toot jatega.
Aur Masail ke liye apna sawal comment karen
2 thoughts on “kin cheezo se roza nahi jata hai by masail world”