Holi me musalmano ka shirkat karna kaisa hai ?
JAWAB:
Holi mushrikon ka mazhabi Tehwar hai. Us men agar koyi musalman us ko achchha samajh kar shirkat karta hai To hamare ulma e kiram farmate hain Woh aadmi KAFIR Hojayega. Us ko phir se kalma padhna farz hai Agar shadi shuda hai to phir se nikaah karna bhi zaroori hai. Log kafiro ko khush karne ke liye un ki holi men shirkat karte hain .
Allah farmata hai Aayat 1:
لا تتخذوا عدوی و عدوکم اولیا
"Ay eimaan walo mere aur apne dushmano ko dost na banawo”۔
Aayat 2:
"Tum men jo un se dosti rakhega (Yani un ke tehwaron holi deewali waghaira men shirkat karga) Woh un hi men se hai”
Hadees 1:
Jo jis qaom (deen) se mushabahat karega woh un hi men se hai
Hadees2:
Jo jis qaom ki taadad bad’hayega woh un hi men se hai Kafiron ke in tehwaron men shirk w but parasti ke alawa bahot se haraam kam bhi hote hai Jaise Nachna Gaana bajana Sharab peena pilaana Waghaira Holi ko acha samjhna aur uski Respect me Mubarak baad Dena kufr he
(Fatawa e Razwiya 14/273.)
Musalmano Tum 1 Allah ke manne wale ho۔ Wahi tumhara sachcha khuda hai. Wahi sab se ziyada tumhari bhalai ka chahne wala hai. Jab us ne farmadiya ke mushriko ko apna dost na banao Isi men tumhari bhalai hai. Aaj tum apne chand kafir dosto ko khush karne ke liye kya apne paida karne wale rab ko naraz karoge.
Koi bhi Musalman aisa nahin karsakta, Mere Iman wale bhai Allah se daro us ke azaab se bacho. Batana mera kaam hai. Amal karna tumhara kaam. Allah taofiq de.
Islye Holi ya aur koi doosra festival jo gair muslimo ka usme shareek nahi hona chahiye.
Forward to all muslim Take ziyada se ziyada musalman is burai se bachen.
1 thought on “Holi me shareek hona kaisa hai?”