FD aur LIC ka Paisa Lena bank se kaisa hai?

bank se FD aur LIC ka Paisa Lena kaisa hai?

LIC (Jeevan bima) aur bank me jama fund pr Jo nafa milta ha, For example 1 shaksh bank me 1 laakh jama krta hai toh 1 saal baad use bank masalan 5 hazar (five thousand) ziyada deti hai.

Question? 
Isi tareh jinke name se” LIC ” ho woh 1 saal ya, 6 maheene chalata hai Phir uska intiqal ho jata hai toh uske ghar walon ko pure 5 saal ka Paisa mil jata ha  .  To Yeh Paisa Lena jaiz ha ya najaiz ha?
Braye karam Jawab inayat farnayen.

Answer

LIC” aur kufffar ke bank ka munafa Sharan,an Sood (Interest) Nhi hai . Is liye use Lena aur har jaiz kaam me sarf (kharch) krna jaiz, O durust hai.

Yaad rahe India ke kufffar "Harbi” hain aur Harbi kafir wa Muslim ke darmiyan Sood Nhi hota .  Unka maal masoom Nhi hota hai . Yani un ke maal ki hifzat musalman par zarori nahi hai .

Albatta kufffar bad ahdi ya wada khilafi krte hon,ya Muslim ki izzat ke jaane ka darr ho toh unka bhi maal mubah Nhi hai.
Hadees Shareef me hai:لا ربا بين المسلم والكافر الحربي. Tarjama : Muslim aur Harbi Kafir ke beech sood Nhi hota ha,
Is liye kufffar se hasil ki gai raqam jaiz, O, Mubah hai.

islye bank se FD aur LIC ka paisa lena jaiz aur durust hai . Is maal ko lene me qabahat nahi hai .

Note : Ye masla sirf un mulkon ke liye hai jahan par bank kafiron ke hon . Jaise India me . pakistan me muslims banak hon to wahan par jaiz na hoga . Albatta income tex se bachne ke liye lic karwa sakte hain . Jis ki wajah ye hogi ki Zyada Income tex dene se bach jayega .

read more ……

loan lekar gadi car khareedna kaisa hai.

kya hazrat bilal ki zuban me luknat thi

 

1 thought on “FD aur LIC ka Paisa Lena bank se kaisa hai?”

  1. बैंक से मिलने वाला ब्याज हराम है या हलाल ? बैंक से कर्ज लेना और उस पर ब्याज देना क्या हराम है या हलाल ।

    جواب دیں

Leave a Reply