Eitikaf ke masail aur unka hal
Question?
Kiya Mutakif (Itakaf mein baithne wala) apni masjid se nikal kr dusri masjid ki mahfil e naat mein shirkat kar sakta hai?
Ans. Mutakif apni masjid se nikal kr dusri masjid ki mahfil e naat mein shirkat Nahi kar sakta .Agr woh dusri masjid ki mahfile naat mein jayega toh uska itikaf toot jayega .
(Fatawa Faqeehe millat Jild 1 page 348 Shabbir brothers Lahore)
Question .
Agr Mutakif ko ihtelam (wet dream) ho jaye toh kiya uska itikaf toot jayega?
Answer : Agr Mutakif ko ihtelam(Wet dream) ho jaye toh uska Eitekaaf Nahi toote ga .
(فتاوی رضویہ، جلد 3، صفحہ479 تا 484، رضافاؤنڈیشن لاہور)
Question .
Agr Mutakif ko itikaf ki halat me ihtelam (wet dream) ho Jaye toh kiya kre?
Answer : Agr Mutakif ko ihtelam(Wet dream) ho jaye toh jaise hi uski aankh khule fauran tayammum kar ke masjid se Bahar nikle aur gusl kar ke masjid me wapas aa jaye .
Note :Uske liye tayammum(تیمم) kar ke masjid se Bahar Jana mustahib ha ya wajib? Is baare mein Fuqhaye kiram ke darmiyan ikhtilaf hai, ziyada Ehtiyat isi mein hai ki tayammum kar ke hi masjid se bahar nikle.
(ماخوذ از فتاویٰ رضویہ، جلد 3 صفحہ 479 تا 492، رضا فاؤنڈیشن لاہور)
Question . .
Kiya Mutakif Khushboo, Tail, Surma laga sakta hai?
Answer : Mutakif Khushboo, tail, Surma laga sakta hai isme koi haraj nahi . Jaisa logon me mashhoor hai ki ye kaam nahi karna chahiye iski koi haqeeqat nahi .
(فتاوی عالمگیری، کتاب الصوم، الباب السابع فی الاعتکاف، جلد 1، صفحہ 213، دارالکتب العلمیہ بیروت)
Question
Agr Mutakif raat mein nasha aawar cheezen istemal krle toh kiya uska itikaf toot jata hai?
Answer : Mutakif agr raat mein nasha aawar cheezen isteml krle toh uska itikaf toh Nhi toot, ta lekin Yeh nasha aawar cheezen uske ke liye na jaiz wa haram hain.
(فتاوی عالمگیری، کتاب الصوم، الباب السابع فی الاعتکاف، جلد 1، صفحہ 213، دارالکتب العلمیہ بیروت)
Question .
Kiya Mutakif Namaze janaza padhne sunnat itikaf mein masjid se Bahar ja sakta hai?
Answer : Mutakif Namaz e janaza ada krne masjid se Bahar Nhi ja sakta hai agr Namaz e janaza ke liye masjid se Bahar jayega toh uska itikaf toot jayega
۔فتاوی عالمگیری، کتاب الصوم، الباب السابع فی الاعتکاف
Question .
kiya Mutakif mareez (Patient ) ki ayadat krne ke liye Sunnat e itikaf mein masjid se Bahar ja sakta hai?
Answer : Mutakif Mareez ki ayadat ke liye masjid se Bahar nikal kr Nhi ja sakta hai , agr jayega toh uska itikaf toot jayega.
(فتاوی عالمگیری، کتاب الصوم، الباب السابع فی الاعتکاف، جلد 1)
Question
Agr Mutakif bimar ho gaya toh kiya ilaj(Treatment) ke liye masjid se Bahar ja sakta hai?
Answer : Agr Mutakif bimar ho gaya toh ilaj(Treatment) ke liye masjid se Bahar Nahi ja sakta hai . Agr jayega toh uska itikaf toot jayega. Lihaza Mutakif masjid hi mein ilaj Kar waye.
(فتاوی عالمگیری، کتاب الصوم، الباب السابع فی الاعتکاف، جلد 1)
Question .
Agr masjid mein ilaj mumkin Nhi tha aur Mutakif ilaj ke liye bahar chala gaya toh kiya Hukm hai?
Answer : Mutakif ka ilaj masjid mein mumkin Nhi tha aur woh ilaj ke liye Bahar chala gaya toh uska itikaf toot jayega . Lekin woh is surat mein gunrhgar Nahi hoga.
(فتح القدیر، باب الاعتکاف جلد 2، صفحہ 111، فیضان رمضان مرمم، صفحہ 268، مکتبۃ المدینہ کراچی)
Question .
Agr Mutakif ko need mein chalne ki bimari ho aur woh chalte chalte masjid se Bahar chala gaya toh uska itikaf toot jayega?
Answer : Agr kisi Mutakif ko need mein chalne ki bimari ho aur woh chalte chalte masjid se Bahar nikal gaya toh uska itikaf toot jayega.
Eitikaf ke masail aur unka hal
:
Question : Khane peene ke liye Eitikaf krna kaisa hai?
Answer : Khane peene ke liye Eitikaf na kiya Jaye, Eitikaf sirf Zikr e Ilahi ke liye kiya Jaye, usi ke zimn (saath) mein uske munafa (for example khana peene wagera) hasil ho jayenge.
(ملفوظاتِ اعلیٰ حضرت، حصہ اول، صفحہ 86، 87، مکتبۃ المدینہ کراچی)
Question : Masjid mein Sona kaisa hai?
Answer : Masjid mein Sona jaiz Nhi hai magar Jo Eitikaf ki niyat krle aur thodi Der Zikr e ilahi mein mashgool ho Jaye fir uske baad Sona chahe toh so sakta hai.
(فتاویٰ عالمگیری، کتاب الکراھیۃ، باب اداب المسجد والقبلۃ )
Question : Kiya Mutakif Eitikaf ke doran deeni Masail bata sakta hai?
Answer : Mutakif Eitikaf ke doran deeni Masail bata sakta hai, is me koi haraj Nhi hai.
Question : Kiya Mutakif Eitikaf mein cigarette pee sakta hai?
Answer : Mutakif Eitikaf ke dauran aen e masjid (masjid ke Hall, sihan) mein cigarette Nahi pi sakta hai, lekin fanaye masjid mein is tareh pi sakta hai ki dhuwan aen e masjid tak na pahunche . Aur masjid mein pahunchne se pehle acchi tareh munh(mouth) saaf kar le, kyn ki agr cigarette ki badboo (bad smell) aen e masjid tak pahunchi toh bhi cigarette peena jaiz Nahi hoga, ya Mutakif ke munh (mouth) mein uski boo (smyle) baqi rahi toh uske liye masjid mein dikhil Hona jaiz Nhi hoga.
(فتاوی فیض رسول، جلد 1، صفحہ 535، شبیربرادرز لاہور، اعتکاف کے مسائل، صفحہ 23، مکتبہ اعلیٰ حضرت)
Note : Agr Mutakif cigarette peene ke liye masjid ke ihate se Bahar nikla toh uska eitikaf toot jayega.
Question : Kiya Mutakif eitikaf ke dauran munh (mouth)mein Naswar rakh sakta hai?
Answer : Mutakif fanaye masjid mein jakar munh (mouth) mein Naswar rakh sakta hai, isse uska eitikaf Nhi toote ga, lekin masjid mein dakhil hone se pehle munh (mouth) acchi tareh saaf krle kyn ki jab tak uski smyle baqi rahegi uske ke liye masjid mein dikhil Hona jaiz Nhi hoga.
(موخوذ از فتاوی فیض رسول، جلد 1، صفحہ 535، شبیر برادرز لاہور)
Note : Lekin Yeh baat yaad rahe ki Mutakif agr munh (mouth)me Naswar rakhne ke liye masjid ke ihate (had) se Bahar nikla toh uska eitikaf toot jayega.
Question : fanaye masjid kise kehte hain?
Answer : Masjid se mili hooi woh jageh (place) Jo masjid ki zaruriyat ke liye ho woh fanaye masjid kehlati hai, For example "Wazu khana, toilet, bathroom,
Masjid se mile hooye imam, muazzin ke kamre, namaziyon ke shoes wagera utarne ki jageh. Yeh sab fanaye masjid mein dakhil hain.
(فتاوی امجدیہ، جلد 1، صفحہ 399، مکتبہ رضویہ کراچی، فیضانِ رمضان مرمم، صفحہ 263، مکتبۃ المدینہ کراچی)
Question : Kiya Mutakif fanaye masjid mein ja sakta hai?
Answer : Mutakif fanaye masjid mein ja sakta hai, fanaye masjid mein jaane se eitikaf Nhi toote ga agr cheh bila zarurt Jaye.
(فتاوی رضویہ، جلد 16، صفحہ 495، رضا فاؤنڈیشن لاہور، فتاوی امجدیہ، جلد 1، صفحہ 399، مکتبہ رضویہ کراچی)
Question : Kiya Mutakif begair uzr (reason E sharyi, tibbi) bhool kr masjid se nikal Jaye toh uska itikaf toot jayega?
Answer : Mutakif begair uzr (Reason) masjid se bhool Kar nikle ya jaan boojh kr nikle, uska eitikaf toot jayega.
Albatta begair uzr (reason)jaan boojh ke masjid se nikalne ki surat mein Mutakif guneh gaar bhi hoga.
(فتاوی عالمگیری، کتاب الصوم، الباب السابع فی الاعتکاف، جلد 1اب الاعتکاف، جلد 3، صفحہ 501)
Question: Agr fanaye masjid mein Wazu khana, toilet, bathroom mojud ho toh kiya farz gusl ke liye masjid se Bahar ja sakta hai?
Answer : Agr fanaye masjid mein Wazu khana, toilet, bathroom, mojud ho toh Mutakif Qazaye hajat, farz gusl ke liye masjid ke ihate se Bahar Nhi Ja sakta hai,kyn ki ab masjid se Bahar jaane ke liye zarurt sabit Nhi hai, lihaza ab is surat mein masjid se Bahar jayega toh uska itikaf toot jayega.
(ماخوذ از ردالمحتار علی الدرالمختار، کتاب الصوم، باب الاعتکاف، جلد 3، صفحہ 501 )
Eitikaf ke masail aur unka hal
Sadqa e fitr kitna wjib hai / Sadqa e fitr kis par wajib hai
Roze me muh me paan tambaku rakhna aur thook dena kaisa
Mashallah bahot hi acha kaam hai Allah tàla Aapko Jaza e khair ata farmaye
aameen