Eid ki namaz ka tarika in Hindi / Eidul fitr ki namaz

Eid ke Din Sare Logo ko Bakhsh Diya Jata Hai

       Jab Eid ka din aata hai to Allah tala apne bandon se farishto par fakhr karta hai . Allah farmata hai ki aye farishto is bande ki mazdoori kya hai jis ne apna kaam poora kiya ho . Farishte arz karte hain ki aye mere parwardigar uski Jaza ye hai ki Use poora ajar diya jaye . Allah farmata hai ki mere bandon aur bandiyon ne apne fareeze ko poora kiya hai . Phir wo Eid gaah ki taraf dua karte hue nikle hain , Meri Izzat o Jalal ki qasam main in ki dua ko qubool karunga . Phir farmata hai aye mere bando laut jao main ne tumhe bakhsh diya , Aur tumhari buraiyan nekiyon se badal di . Huzoor ﷺ ne Irshad farmaya ” Ki Log is haal me wapas hote hain ki Unki bakhshish ho chuki hoti hai .

Namaz e Eid ka tarika / Eidul fitr ki Namaz ka tarika

 Sab se pahle niyat is tarah kare .

        Niyat ki main ne 2 rakat namaz wajib Eid ul fitr ki 6 takbeero ke saath , Allah tala ke liye ( Muqtadi itna aur kahe peeche is Imam ke ) Munh mere kaaba shareef ki taraf , Phir kanon tak haath uthaye aur Allahu akbar kah kar haath bandh le .

        Uske baad Sana padhe . Phir Allahu akbar kahta hua haath uthaye aur chod de . dobara aise hi Allahu akbar kahta hua haath uthaye aur chod de . Teesri baar Allahu Akbar kahta hua haath uthaye aur Naaf ke neeche lakar bandh le . Uske baad Imam aahista Auoozubillah aur Bismillah padh kar buland aawaz se Surah Fatiha ki Tilawat kare . Phir koi soorat padh kar Ruku aur sajda kare .

      Doosari Rakat me Pahle surah fatiha yani Alhamdu ke saath koi surat padhe . Phir 3 baar Allahu Akbar kahta hua kanon tak haath le jaye aur kisi martaba na bandhe . Aur Chauthi baar bagait haath uthaye Allahu Akbar kahta hua Ruku me Jaye . Phir Baqi Namaz doosari Namaz ki tarah poora kare .

 Slam Pherne ke baad Imam 2 Khutbe padhe phir Dua mange .

Eid ke Din ye Kaam karna Mustahab hai .

  1. Hajamat banwana .
  2. Nakhoon katna .
  3. Ghusl karna .
  4. Miswak karna .
  5. Achche kapde pahnna .
  6. Khushboo lagana .
  7. Subah Yani Fajar Ki Namaz mohalle ki masjid me padhna .
  8. Eid gaah Jladi jana .
  9. Namaz se pahle Sadqa e fitr ada karna .
  10. Eid gaah tak paidal jana .
  11. Doosare Raste se wapas aana .
  12. Namaz ke liye jane se pahle 3/5 / 7 Khujoor khana .
  13. Khujoor na ho to koi meethi cgeez khana .
  14. Khushu Zahir karna .
  15. Aapas me Mubarakbaad dena .
  16. Kasrat se sadqa karna .
  17. Eidgaah Nazre neechi kiye hue Waqar o itminan ke saath jana .

Ye Sab baaten Eidul fitr ke din karna Mustahab hai . ( Anware Shareeat )

Eid ki namaz ka waqt kab se kab tak rahta hai

      Eid ki namaz ka waqt Sooraj niklne ke baad se Zawal ke pahle tak rahta hai . Lekin Pahle waqt me padh lena behtar hai . zyada takheer nahi karna chahiye .

Eid ki Namaz ghar par kaise padhen ?

Aaj ke mahol me agar Eidgaah ya masjid me eid ki jamat na mil sake to aisi soorat me Eid ki namaz Saqit hoti hain . yani aise logon par Eid ki namaz maaf hai .

Lekin Ulamaye kiram ne aisi soorat me kuch Ibadat ka hukm ata farmaya hai . Bahare Shariat me bhi ye baat mojood hai ki agar Eid ki jamat na mil sake to Apne ghar par 4 rakat namaz Chasht ki padhe . Insha Allah usko Eid ki namaz padhne ka swab milega . Ye baat bhi yaad rakhna chahu=iye ki is namaz me niyat Eid ki nahi karna hai balki 4 rakat Chasht nafil ki niyat se padhna hai .

Eid ke din chasht ki Namaz ka tarika

    Niyat bandhne ke baad sab se pahle Sana padhe . Phir Auzubillah aur bismillah ke baad Surah Fatiha ki tilawat kare . After that  koi surat milaye jo achchi tarah yaad ho . Ya aisi koi aik Ayat padhen jo 3 choti ayaton ke barabar ho . Phir Allahu Akbar kahta hua Ruku me jaye Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhana Rabbiyal Azeem padhe . Samialllahu liman hamidah kahta hua khada ho jaye . Allahuakbar kahta hua Sajde me Jaye .

     Sajde me Kam se kam 3 baar tasbeeh yani Subhan Rabbiyal aala padhe . Uske baad doosre sajde me Allahu akbar kahta hua jaye aur isme bhi 3 tasbeeh padhe .

      Dono sajde complete karne ke baad 2sri rakat ke liye Allahu akbar kahta hua khada ho jaye . Surah fatiha ki tilawat ke baad soorat milaye . Phir pahli hi rakat ki tarah Ruku Aur Sajda kare . Do Rakat par Qaada kare .

     Isi tarah 4 Rakat Namaz ada kare . Har  rakat me Surah Fatiha ke baad surat milaye . 4 Rakat mukammal hone ke baad qaada kare . Usme Attahiyyat , Durood e Ibrahim aur Dua e masoora padh kar salam pher de .

Aap ko agar Post aaaachchi lagi ho to share kar den taki Doosaro ka bhi fayda ho .

Shabe qadr ki namaz ka tarika hindi me

Sadqa e fitr kitna wjib hai / Sadqa e fitr kis par wajib hai

Leave a Reply

%d bloggers like this: