Eid ke Din Sare Logo ko Bakhsh Diya Jata Hai
Jab Eid ka din aata hai to Allah tala apne bandon se farishto par fakhr karta hai . Allah farmata hai ki aye farishto is bande ki mazdoori kya hai jis ne apna kaam poora kiya ho . Farishte arz karte hain ki aye mere parwardigar uski Jaza ye hai ki Use poora ajar diya jaye . Allah farmata hai ki mere bandon aur bandiyon ne apne fareeze ko poora kiya hai . Phir wo Eid gaah ki taraf dua karte hue nikle hain , Meri Izzat o Jalal ki qasam main in ki dua ko qubool karunga . Phir farmata hai aye mere bando laut jao main ne tumhe bakhsh diya , Aur tumhari buraiyan nekiyon se badal di . Huzoor ﷺ ne Irshad farmaya ” Ki Log is haal me wapas hote hain ki Unki bakhshish ho chuki hoti hai .
Namaz e Eid ka tarika / Eidul fitr ki Namaz ka tarika
Sab se pahle niyat is tarah kare .
Niyat ki main ne 2 rakat namaz wajib Eid ul fitr ki 6 takbeero ke saath , Allah tala ke liye ( Muqtadi itna aur kahe peeche is Imam ke ) Munh mere kaaba shareef ki taraf , Phir kanon tak haath uthaye aur Allahu akbar kah kar haath bandh le .
Uske baad Sana padhe . Phir Allahu akbar kahta hua haath uthaye aur chod de . dobara aise hi Allahu akbar kahta hua haath uthaye aur chod de . Teesri baar Allahu Akbar kahta hua haath uthaye aur Naaf ke neeche lakar bandh le . Uske baad Imam aahista Auoozubillah aur Bismillah padh kar buland aawaz se Surah Fatiha ki Tilawat kare . Phir koi soorat padh kar Ruku aur sajda kare .
Doosari Rakat me Pahle surah fatiha yani Alhamdu ke saath koi surat padhe . Phir 3 baar Allahu Akbar kahta hua kanon tak haath le jaye aur kisi martaba na bandhe . Aur Chauthi baar bagait haath uthaye Allahu Akbar kahta hua Ruku me Jaye . Phir Baqi Namaz doosari Namaz ki tarah poora kare .
Slam Pherne ke baad Imam 2 Khutbe padhe phir Dua mange .
Eid ke Din ye Kaam karna Mustahab hai .
- Hajamat banwana .
- Nakhoon katna .
- Ghusl karna .
- Miswak karna .
- Achche kapde pahnna .
- Khushboo lagana .
- Subah Yani Fajar Ki Namaz mohalle ki masjid me padhna .
- Eid gaah Jladi jana .
- Namaz se pahle Sadqa e fitr ada karna .
- Eid gaah tak paidal jana .
- Doosare Raste se wapas aana .
- Namaz ke liye jane se pahle 3/5 / 7 Khujoor khana .
- Khujoor na ho to koi meethi cgeez khana .
- Khushu Zahir karna .
- Aapas me Mubarakbaad dena .
- Kasrat se sadqa karna .
- Eidgaah Nazre neechi kiye hue Waqar o itminan ke saath jana .
Ye Sab baaten Eidul fitr ke din karna Mustahab hai . ( Anware Shareeat )
Eid ki namaz ka waqt kab se kab tak rahta hai
Eid ki namaz ka waqt Sooraj niklne ke baad se Zawal ke pahle tak rahta hai . Lekin Pahle waqt me padh lena behtar hai . zyada takheer nahi karna chahiye .
Eid ki Namaz ghar par kaise padhen ?
Aaj ke mahol me agar Eidgaah ya masjid me eid ki jamat na mil sake to aisi soorat me Eid ki namaz Saqit hoti hain . yani aise logon par Eid ki namaz maaf hai .
Lekin Ulamaye kiram ne aisi soorat me kuch Ibadat ka hukm ata farmaya hai . Bahare Shariat me bhi ye baat mojood hai ki agar Eid ki jamat na mil sake to Apne ghar par 4 rakat namaz Chasht ki padhe . Insha Allah usko Eid ki namaz padhne ka swab milega . Ye baat bhi yaad rakhna chahu=iye ki is namaz me niyat Eid ki nahi karna hai balki 4 rakat Chasht nafil ki niyat se padhna hai .
Eid ke din chasht ki Namaz ka tarika
Niyat bandhne ke baad sab se pahle Sana padhe . Phir Auzubillah aur bismillah ke baad Surah Fatiha ki tilawat kare . After that koi surat milaye jo achchi tarah yaad ho . Ya aisi koi aik Ayat padhen jo 3 choti ayaton ke barabar ho . Phir Allahu Akbar kahta hua Ruku me jaye Aur kam se kam 3 baar ruku ki tasbeeh padhe . Yani Subhana Rabbiyal Azeem padhe . Samialllahu liman hamidah kahta hua khada ho jaye . Allahuakbar kahta hua Sajde me Jaye .
Sajde me Kam se kam 3 baar tasbeeh yani Subhan Rabbiyal aala padhe . Uske baad doosre sajde me Allahu akbar kahta hua jaye aur isme bhi 3 tasbeeh padhe .
Dono sajde complete karne ke baad 2sri rakat ke liye Allahu akbar kahta hua khada ho jaye . Surah fatiha ki tilawat ke baad soorat milaye . Phir pahli hi rakat ki tarah Ruku Aur Sajda kare . Do Rakat par Qaada kare .
Isi tarah 4 Rakat Namaz ada kare . Har rakat me Surah Fatiha ke baad surat milaye . 4 Rakat mukammal hone ke baad qaada kare . Usme Attahiyyat , Durood e Ibrahim aur Dua e masoora padh kar salam pher de .
Aap ko agar Post aaaachchi lagi ho to share kar den taki Doosaro ka bhi fayda ho .