Auozubillah aur Bismillah ki fazilat
Allah Tala Quran me Irshad farmata hai : Aur Ham Quran me wo cheez utarte hain jo Iman walon ke liye shifa aur rahmat hai .
( Surah Isra , Ayat 82 )
Quran Muqaddas ki tilawat ko Allah tala ne tamam zahiri aur andurooni bimariyon ko door karne ka zariya banaya hai . Youn to poora Quran Khair hi khair hai lekin uska har soorah aur uski har ayat apne andar kamal rakhti hai . Hmare liye zaroori hai ki ham un barkaton ko jaan kar Quran muqaddas ki tilawat karen , Taki Allah ki khaas rahmate ham par Nazil hon .
Auozubillah ki fazilat
Huzoor ne irshad farmaya : Jo shakhsh rozana 10 baar ” Auozubillah minash shaitanir rajeem ” padh liya kare to Allah tala uspar aik farishta muqarrar frama deta hai jo usko Shaitan se bachata hai .
(Tafseer e Naeemi )
Hazrat Imam Husain radillahu anhu farmate hain : Jo Dil ko hazir rakh kar ” Auozubillah minash shaitanir rajeem ” padhe , To Allah tala uske aur shaitan ke darmiyan 300 parde dal deta hai .
( Tafseer e Roohul Bayan , Hissa 1 , page 5)
Bismillah ki Fazilat / Bismillah ki barkat
Hazrat Ali se riwayat hai ki Huzoor ne irshad farmaya : Jab tum kisi museebat me pad jao to ” Bismillahir rahmanir raheem ” padho . Allah Bismillah ki barkat se wo museebat door fama dega .
( Durre mansoor , Hissa 1 , page 26 )
Hazrt Abdullah Ibne Abbas se riwayat hai ki Rasoolullah ne Irshad farmaya : Jab Ustad bachche se kahta hai ” Bismillahir rahmanir raheem ” kaho , To uski barkat se us bachche , us ustad aur uske walidain ke liye jahannam se aazadi likh di jati hai .
( Durre mansoor , Hissa 1 , page 26 )
Hazrat Abdullah ibne masood se riwayat hai ki , Huzoor ne Irshad farmaya : Jis ne ” Bismillahir rahmanir raheem ” padha . Har harf ke badle uske liye 4 hazar nekiyan likhi jayengi . Uske 4 hazar gunah mitaye jayenge aur uske 4 hazar darje buland kiye jayenge .
( Durre mansoor , Hissa 1 , page 26 )
Shawwal ke 6 Roze / Eid ke baad ke 6 Roze
4 thoughts on “Auozubillah aur Bismillah ki fazilat / bismillah ki barkat”