Aqeeda Kise Kahte hain? अक़ीदा किसे कहते हैं hindi में

Aqeeda Kise Kahte hain?

Dictnorey me  Aqeeda Aqd se bana hai jis ka matlab girah ( गांठ) bandhna hota hai .

                  Aqeeda ka matlab kisi chez ki aisi tasdeeq hoti hai. jis me koi shak na ho , Aqeeda ko iman ke mane me bhi liya jata hai ,Is se murad un haqaiq ko bagair shak o shunha tasdeeq karna hai jin ki taleem Allah tala ne Apne Habeeb sallaahu alaihi wasallam ke zariye se di hai .

Isse murad kisi cheez ko haq aur sach samajh kar use apne dil me mazboot karna hai , Jis me sab se aham aur bumyadi cheez Allah tala Zaat e paak aur uski wahdaniyato itaa’t par pakka Iman rakha jaye aur us ke farishton us ki nazil ki hui kitabon ,uske rasoolon , aakhirat ke din,achchi buri taqdeer aur tamam gaib wali cheezon ko dil o jaan se tasleem kiya jaye . 

Iman aham hai ya Aamal | इमान अहम् है या आमल 

Kai saare bhaiyon ki taraf se ye poocha jata hai ki iman aham hai , ya aamal to aap ko aik hadees ke zariye se main batata hun . huzoor Sallallahu alaihi wasallam irshad famate hain , Islam ki Bunyaad 5 cheezon par hai . 

  1. Is baat ki gawahi dena ki Allah ke siwa koi ma’bood nahi , aur mohammad sallahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain . 
  2. Namaz Qayam karna .
  3. Zakat dena . Agar Malik e Nisaab ho aur us maal par saal guzar gaye hon , to us maal se zakaat dena wajib hai . Zakat wajib hone ke liye kisi ke paas Saadhe bawan tolaa chandi , ya saadhe 7 tola Sona ya in dono ko milakar ya kuch roopye paise milakar , Agar Saadhe 52 tola chandi ki qeemat ho jaye aur uspar saal bhi guzar jaye to us maal par zakat wajib hai . 
  4. Mahe Ramzaan ke roze rakhna . Ramzanul Mubarak ke roze rakhna har musalman par zaroori hai . 
  5. hajj karna . Jis ko Allah ne maal o daulat diya hai , Un par Haj karna farz hai , Agar Maal hone ke baa wajood Koi Haj karne me takheer karta hai t wo gunaah gaar hoga . 

Is hadees pak ko bayan karne ka maqsad ye hai ki aap dekhen sab se pahle jis cheez ko bayan kioya gaya hai wo Allah aur uske Rasool par Iman lana Aur is baat ki gawahi dena ki Allah ke Siwa koi mabood nahi hai . Aur Mohammad sallahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain . 

Jis se ye saaf taur par pata chalta hai ki Namaz , Roza , Hajj o Zakaat ki ahmiyat usi waqt hai jab Bande ke andar Iman Ho . Aur agar Iman na ho to saare aamal barbaad aur bekaar hain . 

Isi Tarah se Aap Quran ki Is Aayat par Gaur kare to Pata chalega ki Iman kitna aham hai . Allah ke Rasool ki gustakhi karne par Allah ne Irshad farmaya : Aye logo Rasool ko us tarah se na pukaro jis tarah se aapas me aik doosare ko pukarte ho , Kahin aisa na ho ki tumahare saare aamal barbaad ho jayen . 

(Surah Hujraat Ibtidaai Aayat ) 

Ab aap hi batayen ki wo log jo apne aap ko Sab se bada musalmaan samjhte hain , aur saath hi Aaqa ki gustakhi aur be adabi karte hain unka amal kisi kaam uswaqt tak nahi ho sakta jab tak wo apne Iman ko durust na kar len . 

Allah Par Iman ka Kya Taqaaza hai | Allah Par Iman

Mere pyare Islami bhaiyo Allah par Iman lane ke baad uska taqaaza ye hai ki momin banda apne mabood ke har hukm ka farmabardaar rahe . Aur uske Naayb e mutlaq Yani Aaqa e kareem ki mohabbat me doob kar , Aap ki lai hui shariat ke ahkaamat ka paband rahe , Taki banda Allah ki riza ka haqdar rahe . 

Allah ki zaat o Sifat Ke Muta’lliq aqeeda | अल्लाह के मुता’ल्लिक अक़ीदा 

  1. Sab Ko paida karne wala aik hai . paak aur be aib hai . wahi har kamal o khoobi wala hai . Allah hamesha se hai aur hamesha rahega . uske siwa jo kuch hai pahle na tha jab usne paida kiya to hua . Mera maula kisi bhi baat me kisi ka muhtaaj nahi . Saari kaynaat usi ki muhtaaj hai . Wo sab ka malik hai jo chahe kare uske chahe bagair koi zarra nahi hil sakta . Sab uske bande hain . wo apne bandon par maan baap se zyada meharbaan hai .
  2. Hidayat aur gumraahi usi ki taraf se hai . Jise chahe hidayat par rakhe aur jise chahe gumraah kar de . Uske har kaam me hikmat aur insaaf hai . Bandon ki samajh me aaye ya na aaye , Bandon par  uske bahut ehsaanat hain .
  3. Allah hi is layaq hai ki uski Ibaadat ki jaye . uske alawa doosara koi ibadat ke layaq nahi . 
  4. Haqeeqi Badshah Allah hi hai . Wahi Aleem o hakeem hai . Koi bhi cheez Allah ke Ilm se bahar nahi , Wo sab kuv=ch janta hai . yahan tak ki bandon ke dilon ke waswase se bhi ba khabar hai . 
  5. Allah jo chahe , Jaisa Chahe kare , Us par kisi ka koi dabao nahi . Aur koi uske irade se use rokne wala hai . bando ke achche kaam se wo khush hota hai aur bure kaam par naraaz hota hai . 
  6. Saare bando ko rozi pahunchane wala wahi hai . Aulaad ata karne wala , aur har zaroorat poori karne wala wahi hai . Faishte wagairah waseela aur wasta hain jin ko Allah ne muqarrar kiya hai . 

Allah ke liye koi bhi aib na mumkin balki mohaal hai . jaise jhoot bolna , Jihalat , Zulm wagairah tamam buraiyn Allah ke liye mohaal hain . Aur jo ye mane ki khuda jhoot bol sakta hai , Lekin bolta nahi aisa aqeed rakhne wala gumraah hai . Iska matlab ye hai ki wo manta hai ki Khuda aibi to hai lekin apna aib chupaye hue hai. 

Note : Agar Aap ko Aqeeda ke hawale se koi sawal ho to aap pooch sakte hain . Insha Allah jald uska jawab aap ko zaroor diya Jayega . Isi tarah se agar kisi aur cheez ko poochna chahte hain to bhi diye hue whatsapp number par pooch sakte hain . 

Aap Apne Dosto ko bhi Website ke bare me batayen . Jazaka Allahu khaira .

 


Hajj Ji Fazilat | Hajj kab farz hua 

तवाफ़ की फ़ज़ीलत |Tawaf ki fazilat | Zamzam ki fazilat

2 thoughts on “Aqeeda Kise Kahte hain? अक़ीदा किसे कहते हैं hindi में”

Leave a Reply