Aqaaib ke mutalliq aasan sawal o jawab

Aqaaib ke mutalliq aasan sawal o jawab

Sawal : Aqaid ke Imam kitne hain? 

Jawab : aqaid ke Imaam 2 hain . 1 Hazrat Sayyidina Imam abu mansoor ma tureedui . Doosare Hazrat Imam Abul Hasam Ash’ari . 

Sawal : Kya ye dono Imam barhaq hain ? agar dono haq par hain to phir Ikhtilaaf kis baat me hai ?

Jawab : Ji han . Ye dono Imam haq par hain . Aqeede ke Usool me dono aik hain . Albatta agar ikhtilaf hai to sirf furooi aqaid me , Aur inka ikhtilaaf aisa hi hai jaisa shafai aur hanafi ka ikhtilaaf hai . 

( Bahar e Sariat ) 

Sawal : Jo shakhsh in dono Imamon ke khilaaf koi aqeeda rakhe wo Ahle sunnat me dakhil hai ya nahi ? 

Jawab : Ahle sunnat inhi dono Imamon ki pairawi kare hain . Ma_tureediya Hazrat Imam abu mansoor ma-tureedi ki , Aur ashaira Hazrat Imam Abul Hasan Ash’ari ki . To Ahle sunnat ki yahi do jamate hain . Jo inke khilaaf koi aqeeda rakhe , aur wo aqeeda hadde kufr tak pahunch jaye o wo kaafir aur ahle sunnat se kharij hai . Aur agar hadde kufr tak na pahunche to wo gumraah hai . 

Masail ke imam

Masail ke Imam sirf 4 hain . 

  1. Hazrat Imam e aazam abu Haneefa rahimahullah .
  2. Imam e shafai rahimahullah .
  3. Hazrat Imam e maalik rahimahullah .
  4. Imam Ahmad bin Hanbal rahimahullah .

doosari sadi ke baad Ummat ne inhi charon Imamon par ittifaaq kar liya hai . Us se pahle kuch Imam aur bhi hue lekin unke mazaahib kuch zamane tak chale aur khatam ho gaye . 

Sawal : Kya In chaar Imamon me se kisi 1 ki taqleed zaroori hai ? 

Jawab : Ji han : Masaile sharayya par amal karne ke liye kisi aik Imam ki taqleed zaroori hai . warna wo shariat par amal karne wala nahi . Balki wo shakhsh apni khwahish par amal karega aur gumraah hoga . Is waqt in chaar Imamon ke alawa kisi ki taqleed jaiz nahi . Ab mazhab e haq Inhin charon me munhasir hai . Aur jo in charon se khaarij hai wo gymraah bad deen hai .

( Tahtaavi , Jild 4 , Page 153 )

Sawal : Agar charo Imam Haq par Hain to phir Ikhtilaaf kis baat me hai ? 

Jawab : Ye Charo Imam Usool e aqaaid me aik hi tarah hain . Ikhtilaaf sir furooi masail me hai . 

Shariat ke imamo ke Ikhtilaaf ka kya Faida hai

Jawab : Shariat 1 chaman hai jis me mukhtalif qism ke phool hain , Kahin Gulab to kahin Chamnbeli , Sirf 1 phool se chaman nahi banta aur na hi 1 phool us baag aur chaman ki zeenat ke liye kaafi hai . Aqeede ke Imam hon ya Masail ke Imam Ye Chaman e Shariat ke phool hain . Aur In phoolo ka Ikhtilaaf hi Chaman ki zeenat hai . 

Jaise ki Sar ke masah ke baare me Imam e deen ka ikhtilaaf hai . Imam aazam abu haneefa radiallahu anhu apne ijtihaad se chauthai sar ka masah farz qarar dete hain . Aur Imam e shfai radiallahu anhu mutlaq masah ko farz qarar dete hain . Yani masah hona chahiye , Chahe sar ke kuch hi balon ka masah ho jaye . Aur Imam malik radiallahu anhu ka kahna hai ki poore sar ka masah karna farz hai . Allah ka maqsad jo bhi magar is ikhtilaaf se ummat e muslima mukhtalif andaz me amal karne ka mauqa mila . 

Aur Yahi mafhoom hai , Meri ummat ka ikhtilaaf rahmat hai ” ka . Ikhtilaaf me raste mukhtalif hote hain lekin maqsad aik hi hota hai . Jaise ki Safar e Hajj ke liye chahe to baghdaad ya Iraaq ka safar kar ke jaye ya Mulk e shaam hota hua makka mukarrama jaye , Dono ka maqsad aik hai aur wo kaaba k hajj hai . 

Ahle sunnat Kise kahte hain | Aqaaib ke mutalliq aasan sawal o jawab

Huzoor Akram sallahu alaihi wasllam , Sahaba , tabaeen , tabe tabaeen ke tareeqa par chalne wale ko Ahle sunnat kahte hain . 

( Tatheerul Jinan wal Lisaan )

Wahabi Kise kahte hain aur unka aqeeda kya hai ? 

Mohammad bin Abdul wahab ke manne walo ko wahabi kahte hain . Is mazhab ka bani Mohammad bin abdul wahab najdi hai . usne apna mazhab e baatil phailane ke liye aik kitab likhi jiska naam ” Kitabut tauheed ” rakha . Is kitab ke zariye Anbiya aur auliya alahimussalam aur khud Huzoor ki dil khol kar tauheen ki . Phir usi kitab ka turjuma Hindustaan me Ismaail dahlavi ne kiya , Jis ka naam ” Taqviyatul Iman ” rakha . Usi ne yahan par wahabiyat phailai , is waqt ismail dahlavi , rasheed ahmad gangohi , qasim nanotavi , Asgraf ali thanavi aur taqviyatul Iman ko manne wala ya is kitab ke mutabiq aqeede rakhne wala wahabi hai . 

Mohammad bin Abdul wahab ka aqeeda tha ki : Tamam musalman mushrik aur kaafir hain , aur in se qatl o qitaal karna , in ke maalo ko in se cheen lena halal o jaiz balki wajib hai . wo sirf apne aap ko musalman samjhte hain . 

( Fatawa razawiyya , Jild 9 , page 4 ) 

Deobandi kise kahte hain aur unka aqeeda kya hai ?


Molvi Rasheed ahmad gangohi , Molbi asharaf ali thanvi , Molvi qasim ali nanotavi , Molvi khaleel ahamd anbethavi ke manne walon ko devbandi khte hain . Unka aqeeda ye hai .

  1. Huzoor sallahu alaihi wasallam ke baad doosara nabi ho sakta hai .
  2. Shaitan ka Ilm Huzoor ke Ilm se Zyada hai .
  3. Iblees , Shaitan ka bada aalim hona nasse qatai yani quran se sabit hai , Aur Huzoor ki us’ate ilm ke liye koi nasse qatai nahi . 
  4. Khuda jhoot bol sakta hai , Balki bola bhi hai .
  5. Huzoor sallahu alaihi wasallam ke liye Ilm e gaib ka suboot aisa hi hai jaisa Ilm bachcho , pagalon aur janawaro ko hai , ma’zallah . 

Ye charo apne aqeede ke aitebaar se kaafir o murtad hain jo in ke kufr o azaab me shak kare wo khud kaafir hai .  Aaj ke daur me devbandi wahabi dono ka hukm aik hi hai , Isliye ki ye log in khabeeson ke aqwal e batila aur aqaaid e fasida ko sahih aur haq mante hain . Isliye ye bhi kafir o murtad hain . 

(Fatawa Razawiyya , jild 9 page 39 to 42 ) 

Note : Tafseel ke liye Husamul haramain aur As sawarimul Hindiyya ka mutala kare . Isi tarah se Ulam e ahle sunnat ki un kitabon ka mutala kare jin me in ke aqaaid ko bayan kiya gaya hai . Balki in ke aqaid ki jankari ke liye inhin ki kitabon ko padhna kaafi mufed hoga . 

Agar Aap kuch poochna chahte hain to whatsapp number par apna sawal likh kar bhejen . Insha Allah jald uska jawab diya jayega . 

Azhar Alimi

Huzoor ka jism kaaba se afzal hai / Aqeeda

Aqeeda Kise Kahte hain? अक़ीदा किसे कहते हैं hindi में

1 thought on “Aqaaib ke mutalliq aasan sawal o jawab”

Leave a Reply